Karbobala ke dasht me be aasra aale nabi

Maare gaye ansaar sab, zakhmi hua ibne ali

Munis nahi yawar nahi, ghaazi nahi akbar nahi

Bikhre pade hai ja baja, laashe kahi aur sar kahi

Matam karo ehle aza, ghar lut gaya shabbir ka

Purse ko aai sayyeda, matam karo ehle aza

Pursa bhare ghar ka hai ye, jo karbala me lut gaya



Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka



Ek dopeher me lut gaya, maqdooma-e-alam ka ghar

Kaunain ki shehzadiya, nauha kuna hai nange sar

Tumse ali ki laadli, kehti hai ye sar peetkar

Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka



Aye rone walo kya kahe, kesi hui humpe jafa

Kohe musibat gir pada, hum hogaye be aasra

Har majlise shabbir me, aati hai zainab ki sada

Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka

Pamaal hai farwa ka dil, pamaal qasim ka badan

Maara gaya naushaah bhi, pardes me tashna dahan

Shaale aza pehne hue, kehti hai ek shab ki dulhan

Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka



Nana ki jo tasweer tha, rukhsat hua khakar sina

Ek haath seene par rakhe, behosh hai akbar ki maa

Zinda rahu kese bhala, hai umme laila ki fugha

Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka



Kya asr ka hangaam tha, jab shaah par khanjar chala

Wo 13 zarrbe shimr ki, mazloom ka sookha gala

Maadar ko dekha dasht me, aur zere lab kehne laga

Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka



Shaame ghariba aagai, karbobala roti rahi

Jalti hui is khaak par, baithi rahi aale nabi

Dasht-e-bala me marsiya, karti rahi binte ali

Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka



Hai mazhar-o-irfan bhi, farshe aza par matami

Ankho se jaari alqama, purse ka hai haq to yahi

Marham dil-e-zehra ka hai, nauhagari seenazani

Hussain  ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata

Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)

Zehra ko do pursa, Zehra ko do pursa..