Haye Sakina (x6)

Shab ki tareeki mein aksar

Zindane sham mein ghabrakar

Shimr ke ddar se yaade padar se

Maa se lipat kar

(Kehti thi sakina ro ro kar, Ay amma yahan se riha ho kar, Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Koi sunta nahin faryad meri

    (He zakhm bara is dil pe yahi) x2

    Dada se kahungi ghum apne

    Jis roz yahan se jaaoungi

    Kab tak mein rahungi nawhagar

    Kehti hun jabhi to mein aksar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    Dada ki lahad par jaaoungi

    (Ye neel unhe dikhlaungi) x2

    Ye zakhmi kaan jala kurta

    Sughra ko dikhane jaaoungi

    yaad aye kabhi mujhko khwahar

    Yaad ayein kabhi dada haidar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    Jo bibi payambar zaadi he

    (Wo bhi to yahaan faryaadi he) x2

    Yasrab ke tasawwur ne amma

    Ek rahe sukoon dikhlaati he

    Ho khatm aziyyat ka ye safar

    Bhar jaayenge sare zakhme jigar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    Ab aur ghamo(n) ki taap nahin

    (Ro ro ke ye ankhein khushk huwi) x2

    Kya tum ko gawara he amma

    Ban jaye mera marqad bhi yahi

    Kuchh khauf nahin marne ka magar

    Ehsaan karo itna mujhpar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    Har raat huwi matam mein basar

    (Har din hi guzara ro ro kar) x2

    ye zakhme aseeri zakhme jigar

    Zalim ke tamaache yaade pidar

    Milti he sazae maut agar

    Ye akhri khwahish he maadar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    Azad parindon par aksar

    (Ay amma meri jaati he nazar) x2

    Us waqt khayal ata he mujhe

    Kab qaid se chhut kar jaayenge ghar

    He khof laino(n) ka dilpar

    Faryaad karun kyu(n) na rokar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    Ankhon ko rasai dene lage

    (Sab zakhm duhai dene lage) x2

    Jab mot mere sar par aayi

    Ye log rihai dene lage

    Ye lamhe ghaneemat he maadar

    Ye zakhm banenge rakhte safar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    Dada ko wahaan pursa denge

    (Phir fateha khani karlenge) x2

    Jab dil ko sukoon miljayega

    Ham log watan ko jaayenge

    Sab royenge qabre zehra par

    Jo meine kaha socho manzar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo
    "Irfan" aur mazhar apna watan

(He bibi sakina ka madfan) x2

Nisbat he najaf ki matti se

Payenge usi dharti ka kafan

Jab waqte qaza hoga humpar

Kehdenge farishto(n) se rokar

(Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

Kehti thi sakina ro ro kar

Ay amma yahan se riha ho kar

Ya najaf chalo ya watan chalo