Haye sughra..(2)
Haaye
Jo chhut ke shaam ke zindaa se aayi binte ali
Nabi ke roze pe sughra se roke kehne lagi
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

Warna meri tarha chhin jaati tumhari bhi rida
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

1. Tum charagho ko yaha takti rahi shamo sahar
khoo rulati thi tumhe roz yaha yaad e padar
tumne akbar ke kaleje me na dekha naiza
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

2. Kya batau ke waha kaise masaeb toote
ek hi roz me sab god ke paale chhoote
ek ek laash pe khaimo me qayamat thi bapa
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

3. Kis tarha aun o mohd ke janaze aaye
shaah maqtal se unhe kaise utha kar laye
sunke karti ho buka dekh ke aajati qaza
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

4. Ghash pe ghash khaati thi saidaniya karti thi buka
ek ghatri me jo qasim ka sarapa aaya
us ghadi khaima e sadaat me mehshar tha bapa
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

5. Meri in ankho ne dekha hai wo manzar dukhiya
baap ke kaanpte haatho pe pisar ka laasha
saath akbar ke tumhara bhi janaza uthta
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

6. Haye paani lene ko tarai pe gaya tha saqqa
phir alamdaar nahi sirf alam aaya tha
haye maqtal se kamar thaame tumhare baba
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

7. Maslehat kya thi tumhe le na gaye kyu sarwar
asr e aashoor khula raaz ye sughra mujhpar
pushte shabbir pe qatil tha sarhane zehra
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

8. Haye kaise manzar wo kare mazharo irfan bayaa
thi ye sughra ke qareeb zainab e muztar ki fughaa
mere baalo ki safedi me hai ye raaz chhupa
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)
Haye sughra..