Alvida.. shehzada e qasim.. alvida...
Saji hui hai karbala jao tumhe allah ko saunpa
magar
ab kise keh ke bulaunga mai tasweer e hasan
alvida gul pairahan qasim e tashna dahan

1) Zainab e khasta jigar aur kulsoom e hazi'n
hoke masroof e buka ghash pe ghash khane lagi
roke kehti hai phuphi, ay mere shere jawan
izn de kyu na akhi, ay mere sher e jawan
tu sifarish ke liye laya jo taviz e hasan

2) Bhai shabbar ki mere ik nishani tum ho
kaise marne ke liye bhej du mai tumko
tumhi akbar ho mere, ay mere sher e jawan
tum hi lashkar ho mere, ay mere sher e jawan
sang is dil pe rakha phir ye kiye maine sukhan

3) De dia izn e wega thaam ke qalb o jigar
tum bhi ho jao juda aye mere noor e nazar
jao hafiz hai khuda, ay mere sher e jawan
roke sarwar ne kaha, ay mere sher e jawan
alvida tujhko kaha hone lagi dil me chubhan

4) Maa ke armaan hain kya ye nahi socha kabhi
kya hai behno ki dua ye nahi socha kabhi
tum jo marne ko chale, ay mere sher e jawan
zakhme dil gehre hue, ay mere sher e jawan
bewa lagne lagi ye kehte hi ik shab ki dulhan

5) Maar dalega mujhe teri furqat ka ye gham
tu suye dasht na ja tujhko sughra ki qasam
waqt ye kaisa pada, ay mere sher e jawan
jo ho manzoor e khuda, ay mere sher e jawan
dasht se launga gathri me tera tukde badan

6) Ban me jab jaoge tum ye to mujhko hai khabar
tan se kardoge juda arzaqe shami ka sar
hai magar ye bhi yaqeen, ay mere sher e jawan
tujhko gherenge layi'n, ay mere sher e jawan
haye ho jayega paamaal ye nazuk sa badan

7) Dasht e ghurbat me mujhe sab ke sab chod gaye
aur shahadat ke liye tum kamar basta hue
meri turbat ke liye, ay mere sher e jawan
char kandhe na rahe, ay mere sher e jawan
alvida tujhko kaha hone lagi dil me chubhan

8) Dekh maadar ki taraf kaise karti hai buka
aankh me dajlyae gham or honto pe sada
dekh mar jaye na maa, ay mere sher e jawan
kaise bheju mai wahan, ay mere sher e jawan
tu jahan jaane ko kehta hai wo hai maut ka ban

9) Roke mazhar ne kaha ye irfan e aaza
jab tasavvur me gaya mera dil kaanp utha
kaise maula ne kaha, ay mere sher e jawan
ja suye dasht e qaza, ay mere sher e jawan
aaj bhi rota hun jab honto pe aata hai sukhan