Haye Hussain (as) Ay Garibe Saiyada (sa) - Hussain (as)....
Mukhtasar Si Fauj Liye Sar Ko Hatheli Pe Rakhe-
Parda Nahsino Ko Liye Ghar Se Chale- Hussain (as)....

Shabiye Payambar (as) Ko Liye....
Saath Ali Asger (as) Ko Liye....
Aabide Muztar Ko Liye Ghar Se Chale....
Tamam Ahle Zameen Tamam Ahle Falaq Sitaare Shamso Qamar Jinno Bashar Darya Shajar-
Sab Ne Kahan....
Woh Madine Se Karbala Ka Safar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....2
Woh Karbala Se Shaam Ka Safar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Woh Haj Ko Umreh Mein Tabdeel Kar Chuka To Phir-
Zameen Kharid Li Apne Maazar Ki Khaatir-
Chala Woh Chod Ke Kis Baat Pe Ghar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Mere Hussain (as) Ke Maqsad Ko Magar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Yeh Kya Ke Sukhe Labo Par Saja Ke Naade Ali-
Jawaan Bete Ke Sine Se Keench Li Barchi-
Hussain (as) Laya Kahan Se Yeh Jigar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.,..,
Yeh Hausla Ye Shajaat Ye Jigar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay 3

Woh Zulm Jel Gaya Ambiya Jo Seh Na Sake-
Utha Ke Laaya Bahattar Janaze Ek Din Mein-
Phir Uske Baad Sina Par Woh Safar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Sina Pe Bola Jo Hussain (as) Ka Sar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Chale Jo Zainab (sa)o Sajjad (as) Qafla Lekar-
Behan Ke Saath Sina Par Chala Hussain (as) Ka Sar-
Hai Ek Raaz Asiroo Ka Safar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Huwe Jo Zulm Sare Raah Magar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Nabi Ki Aal (as) Ne Jo Zulm Raah Mein Jele-
Badan Pe Kardiye Tehreer Taziyano Ne-
Padhi Asiro Pe Kis Kis Ki Nazar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Nazar Ke Teero Ki Taqleef Magar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Kahi Se Aag Baras Ti Thi Aur Kahi Pathar-
Qaleja Aag Ko Sehta Tha Aur Jabin Pathar-
Jala Is Aag Mein Kis Kis Ka Jigar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Aur Ek Aag Tha Kufe Ka Safar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Kabhi Rasan Kabhi Rote The Pao Ke Chaale-
Kabhi Asir Tadapte Kabhi Sina Wale
Aur Is Taweel Musafat Ka Asar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Woh Karya Karya Asiro Ka Guzar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Giri Jo Raah Mein Naake Se Shah Ki Dukhtar (as)-
Ruka Woh Naiza Tha Jispar Mere Hussain (as) Ka Sar-
Sabab Sakina (as) Ke Girne Ka Magar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Thi Kis Ki God Mein Woh Nore Nazar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Yeb Marsiya Hai Ke Nauha Hai Kya Kaho 'irfan'-
Toh 'mazhar Abdi' Bola Hai Dard Ka Quran-
Kahan Se Aayi hai Ek Ek Satar-
Rab Janay Hussain (as) Janay.....
Jo Dard Kar Diye Tehreer Magar-
Zainab (sa) Janay Sajjad (as) Janay.....3

Salam Zainab (sa)e Kubra-
Salam Saiyade Sajjad (as)-