Alamdar alamdar alamdar..(5)
Jab hui der alamdar ko darya pe gaye..(2)
ashke ghum zainab e dilgeer ki ankho se gire
boli ye zainab e lachaar..khuda khair kare
dekhiye sayyade abraar...khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar
dekho darya ki taraf mauje darya ki taraf
kyu nahi aaya alamdaar khuda khair kare

1. Haan yahi kehke sakina se gaya tha ghaazi
izn baba se dila do to mai laau pani..(2)
legaya mashk wafadaar..khuda khair kare
wo hai paani ki talabgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

2. Sukhe kooze liye hatho me khade hai pyase
ab to aa jana tha ghaazi ko mere darya se..(2)
hogaye pyaase dilafgaar..khuda khair kare
jaa balab jeene se bezaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

3. Raasta mere alamdaar ka takte hai sabhi
hai koi mehwe dua koi padhe naade ali..(2)
keh raha hai dile ghumkhwaar..khuda khair kare
alqama par hai sitamgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

4.  Paasba khaima e shabbir ka ab koi nahi
aasra zainab e dilgeer ka ab koi nahi..(2)
roke kehta hai dile zaar..khuda khair kare
wo hai chadar ka nigehbaan..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

5. Sunke zainab ki sada ran ko chale shaahe hoda
thokre khate kamar thaame hue mehwe buka..(2)
boli kulsoom dilafgaaar..khuda khair kare
kaun hai sheh ka madadgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

6. Khoon me dooba alam aaya jo zainab ko nazar
apne nazdeek sakina ko bulaya rokar..(2)
phir ye kehne lagi lachaar..khuda khair kare
ab nahi kehna dilafgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

7. Shor e ghum mazhar o irfan qayamat ka utha
jab alam aaya to shabbir se zainab ne kaha..(2)
kuch batao mere ghumkhwaar..khuda khair kare
jab alam aaya hai sarkaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..