Haaye Sughra, Udaasi Ghar Mai Nauha Khwaan Thi

Haaye Sughra, Shabihe Zehra Pareshaan Thi

Haaye Sughra, Jab Yaad Sataane Lagi Ahl-o-Ayaal Ki

Sughra Ne Ik Charaagh Jalakar, Baba Ko Khat Likha

    (Watan Mai Chhorgaye, Apni Shahzadi Ko) x2

    Hamaare Baad Khushi Koi, Jab Manaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aayenge) x3
    Salaam Bheja Hai Sughra Ne, Bas Yehi Kehkar

    Na Maut Aayi Na Tum Aaye, Na Ali Akber

    Parinde Lout Ke Jab Bhi, Gharon Ko Jaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Yeh Baap Beti Ki Ulfat Toh, Kam Nahin Hogi

    Dukhe Huwe Mere Iss Dil Ko, Hai Sukun Yehi

    Ghale Se Baali Sakina Ko, Jab Lagaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Mera Shabihe Nabi Akber, Jab Azaa(n) Dega

    Zohr Ho Fajr Ho Maghrib Ho, Asr Ho Ke Isha

    Namaz Parhte Jo Daste, Dua Uthaayenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Chalaa Tha Ghar Se Safar Ko Jo, Kaarwaa(n) Mera

    Humak ke Gowdi Me Aaya Tha, Bezubaa(n) Mera

    Jab aap Jhulaa Mere Bhai, Ka Julaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Chacha Bhatiji Ki Ulfat Toh, Yaad Hai Baba

    Alam Ke Saaye Mai Rehti Thi, Fatema Sughra

    Mere Chacha Ka Alam Jab, Wahaa(n) Sajaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Safar Pe Jaane Se Pehle Yeh, Baat Hoti Thi

    Ke Sab Se Pehle Dulhan Aaye, Ghar Mai Qasim Ki

    Jab aap Dasht Mai Dulha, Usse Banaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Yeh Itminaan Mere Baba, Hai Mere Dil Ko

    Koi Kaniz Ho Kubra Ho, Ya Sakina Ho

    Kisi Ko Pyaar Se Jab Bhi, Ridaa Urhaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Safar Mai Eid Jab Aayegi, Sayyed-e-Zeesha(n)

    Chacha Ho Aap Ho Akber Ho, Ya Phuphi Amma(n)

    Sakina Bibi Ko Jab, Baaliya(n) Penaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
    Jo khat Mai Bayn The Sughra Ke, "Mazhar-o-Irfa(n)"

Pisar Ki Laash Pe Parhte The, Sayyed-e-Zeesha(n)

(Watan Mai Chhodgaye Apni Shahzadi Ko) x2

Hamaare Baad Khushi Koi Jab Manaaenge

(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge)