Ham nai ghazi ka alam ghar pai saja rakha hai

Ghar ko apnai mola ka aza khana bana rakha hai

1) Uthta hai majlis-e-Shabbir main jo tera alam Her museebat sai hamain is nai bacha rakha hai

2) Aj bhi percham-e-Abbas ko dekha to kaha Mashk ko seenai sai ghazi nai laga rakha hai

3) Kat gayai bazu alamdar kai derya pai magar Phir Islam kai percham ko utha rakha hai

4) Yeh sabeelai jo muharram main nazar aati hain In pai Abbas nai khud bas kai wafa rakha hai

5) Hai terai bhai ki majlis tera matam ghazi Fatima Zahra ko mehmaan bana rakha hai

6) Sarfarazi hai yeh Rehan Hassan Sadiq Ki Apna sar ghazi kai qadmon main jhuka rakha hai