Har Dum Hussain Tera Gham Hussain

Hai Yehi Dua Har Moman Ki

Rahai Ankh Hamari Nam Hussain

1) Tasveer payambar kai gham main yeh sara aalam rota hai

Ghar ghar main majlis jaari hai Ghar ghar main matam hota hai

Zanjeer sai matam Akber ka ta hashar karain gain ham Hussain

2) Khoon Haider ka Asgher main Is baat ko Jurmal bhool gaiya

Tha teer-e-sitam halkoom pai jo Naizai pai jhula jhool gaiya

Hai ker gaiya sarai alam ki her ankh ko woh purnam Hussain

3) Massom javani Qasim ki ab chain sai khaq pai soti hai

Ker ker kai yaad samandar ko Kerbal ki zameen bhi roti hai

Jis terha huwa tukrai tukrai maqtal main tera Qasim Hussain

4) Lai pursa us masooma ka kano sai jis kai khoon baha

Jo dafan huwi zanjeeron main Jala Kurta jis ko qafan mila

Takrati thi jo sar zindaan sai ro kehti thi her Dam Hussain

5) Na sar ko jhukanai payai laeen cha ha tha jhukana jis sar ko

Khud apnai saron sai bhi ooncha Para un ko uthana jis sar ko

Goh kat gaiya tera sar laikin phir bhi na huwa yah kam Hussain

6) Her dam karo sunnat hai matam hai kertai rahai yeh khud khataim

Na roknai sai ruk payai ga Bharta hi rahai ga yeh matam

Zainab ki dua hai yeh matam ho ga na kabhi yeh Kam Hussain

7) Ujra hai pak Muhammad ka ban main hasta basta Gulshan

Karti hai matam zainab ka Khursheed ki dil ki her dharkan

Terai Akber Qasim Asgher ka her saans main matam Hussain