Habib tum par salam e hussain..(4)
Chale aao karbobala..(2)
Akela hua hai hussain
Habib tum par salam e hussain..(2)
Mere habib, ay mere dost, ay meri aankho ke chayn
Habib tum par..(2)

1. Rajab me madine se nikla tha mai
mohabbat thi jisse wo ghar chhod kar
mai sehta raha sakhtiya'n ay habib
rasool e khuda sheher chhod kar
chale aao karbobala...

2. Bohot mukhtasar sa hai lashkar mera
muqabil to mere hai laakho adu
wafadar bhi ho bahadur bhi ho
nazar dhundhti hai tumhe chaar su
chale aao karbobala...

3. Mere khoo'n ke pyase hai ye ehle sharr
mere qatl ki hai ye tayyariya'n
laeeno ki teghe bhi  hai muntazir
tumhari zarurat hai mujhko yahan
chale aao karbobala...

4. Abhi mera maqtal saja bh nahi
magar mujhpe roti hai karbobala
meri bekasi ka hai jo marsiya
agar sunna chaho to ay hamnawa
chale aao karbobala...

5. Ye tehreer padhte hi nikle habib
to rahwaar roka sare karbala
kiya aake sheh ko salam e wafa
habib e hazi se ye sheh ne kaha
acha kiya habib tum yaha aagaye
mere habib, ay mere dost, ay meri ankho ke chayn

6. Ye dekho  ye dekho sitam
kahan mere khaime kahan alqama
jo dil par hai guzri sunaunga mai
jo tum aa gaye to dilasa mila
acha kiya habib tum yaha aagaye

7. Ye mazhar, ye irfan, ye matami
hai tarteeb me karwaan e aza
ye sab hai habib e shahe mashraqain
sare hashr bolenge shahe huda
Habib tum par salam e hussain..(4)