(Ujjar gayi, haaye mei ujjar gayi) x3

(Gunjti shaam-e-ghariba(n) mei ye Zainab ki sada, mera koyi na raha) x3

    (Na rahe bhaayi na bete) x2 Chin gayi meri rida

    Mera koyi na raha

    (Gunjti shaam-e-ghariba(n) mei ye Zainab ki sada, mera koyi na raha) x2
    (Aasre jiske behen, chor ke ayi thi watan) x2

    Mere parde ka jisse, maa(n) ne banaya zamin

    Lab-e-darya mere ghazi ke, huwe bazu juda

    Mera koyi na raha

    (Gunjti shaam-e-ghariba(n) mei ye Zainab ki sada, mera koyi na raha) x2
    (wo jo athaara baras noori hijabo(n) me raha) x2

    lott ke awunga mei jisne tha sughra se kaha

    haaye barchhi se kaleja, mere akbar ka chhida

    Mera koyi na raha

    (Gunjti shaam-e-ghariba(n) mei ye Zainab ki sada, mera koyi na raha) x2
    (mera ghazi bhi gaya, qasim-o-akbar bhi gaye) x2

    hur sa mehma(n) bhi gaya, ibn-e-mazahir bhi gaye

    kisko ghurbat mei sada du, karbala ye to bata,

    Mera koyi na raha

    (Gunjti shaam-e-ghariba(n) mei ye Zainab ki sada, mera koyi na raha) x2
    (maa ne maqtal me jisse, dulha bana kar bheja) x2

    mera qasim ka badan, dasht me pamal huwa

    baal khole huwe roti, huwi laashe pe kaha

    Mera koyi na raha

    (Gunjti shaam-e-ghariba(n) mei ye Zainab ki sada, mera koyi na raha) x2
    (wo sakina ke jisse, pyaar tha baba se bara) x2

    yaad baba ke mili jisko tamacho(n) ki saza

    gur jo zalim ne utaare, khun ankho(n) se baha