Madina chhod chala, aaj mohd ka nawasa

Dua karo amma, dua karo nana..(3)

Waade nibhaye saare..(2)

Pardes jaane wale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Lahu se apne sajaunga karbala ki zamee

Mai garm ret pe rakhdunga khoo bhari ye jabi

Kardunga ghar ka ghar mai..(2)

Khud maut ke hawale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Tamaam ambiya royenge dekhkar manzar

Uthake aag ke darya se apne hatho par

Launga unke laashe..(2)

Jo god ke hai pale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Zamana kehta hai baba ko saqiye kausar

To kyu na pyaas bujha du mai karbala jaakar

Sab khoon ke hai pyaase..(2)

Amma wo shaam wale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Ye zulm dekhna ae amma karbala aake

Mere watan se mere ghar se meri ankho se

Akbar ke saath rukhsat..(2)

Hojayenge ujale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Na kaatle ye laee aakar bezabaan ka sar

Zameen ko sopunga ye kehke laasha-e-asghar

Ae khaake karbala tu..(2)

Is chaand ko chupa le

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Banake turbat-e-asghar jo ran se aaunga

Libase kohna jo zainab se mai mangaunga

Gunjenge karbala me..(2)

Pardesiyo ke naale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Jo chhut ke shaam ke zindaa se aaenge qaidi

Tumhe sunaenge roro kar daasta apni

Nana wo zakhm-e-dil ho..(2)

Ya paav ke ho chhale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Gulu-e-khushk pe jab hoga shimr ka khanjar

Kahegi ret ke teele par zainab-e-muztar

Koi sitamgaro se..(2)

Shabbir ko bacha le

Dua karo amma, dua karo nana..(2)



Wo chaahe mazhar-o-irfaa ho ya qalam unka

Tum usko ajr me dedena haq shifaat ka

Jisne mere masaeb..(2)

Ashaar me hai dhaale

Dua karo amma, dua karo nana..(2)

Madina chhod chala