barchi ali akbar ke kalayje may lagi hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai

ay maut teharja mere akbar ko na leja
rasta ali akbar ka behan dekh rahi hai
dum todte farzand...
barchi ali akbar...
___________________________________________________

samjha hai tumhe aun-o-mohammed se zyaada,
athara baras paala hai aanchal may chupake
tumko to abhi baap ka banna tha sahaara,
tum sogaye maidaan may phal barchi ka khaake
___________________________________________________

zainab ne kaha haaye mere naazon ke paale
barchi tere seene pe nahi mere lagi hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...

laila ne kaha jiska jawan laal ho aisa
us maa ki rida fauj-e-shaqi cheen rahi hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...

maa kehti bin byaah ke kab aaye to beta
duniya ke sawaari teri jannat se chali hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...
___________________________________________________

marne ke liye izme-wafa maang rahe hai,
din jeene ke hai phir bhi khaza maang rahe hai
do ghoont mile paani ye akbar ne sada di,
shabbir se kis waqt ye kya maang rahe hai
___________________________________________________

rehaan ka nowha hai ke ye bazm-e-aza may
akbar teri awaaz-e-azaan goonj rahi hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...