(Alamdaar) x3

    (Ankhon mein asu, Haathon mein kuze) x2

    Pyason ke lab par he ye buka

    (Alamdaar) x6
    Jeene nahin payegi bali Sakina

    Pyaas se marjaayegi bali Sakina

    Nehr se aao Haye Alamdaar

    Aas bandhawo Haye Alamdaar

    Kehne lagi Zainabe Lachaar

    (Alamdaar) x6
    Pyason ki saqai ab kon karega

    Mein jo karungi buka kon sunega

    Dasht mein tanha Haye Alamdar

    Bhai he mera Haye Alamdaar

    Kaise jiye Sayade abraar

    (Alamdaar) x6
    Thaame kamar haath se shahe huda he

    Dashte bayabaan mein mehwe buka he

    Mein hu(n) akela Haye Alamdaar

    Chahe dilasa Haye Alamdaar

    Ghere he ye lashkare kuffar

    (Alamdaar) x6
    Bali Sakina yahi kehti he rokar

    Koi chachajaan se kehde ye jaakar

    Mein huwi be ass Haye Alamdar

    Koi nahin paas Haye Alamdaar

    Ab nahin pani ki talabgaar

    (Alamdaar) x6
    Bain he kulsum ke jeeke karun kya

    Tera alam dekh ke karti hu(n) nawha

    De gaya tu gham Haye Alamdaar

    Karti hu(n) matam Haye Alamdaar

    Ay mere parde ke nigehdaar

    (Alamdaar) x6
    Chalne lagi jis ghari bhayi pe shamsheer

    Ro ke ye kehne lagi Zainabe dilgeer

    Bhai ko mere Haye Alamdaar

    Aake bachaale Haye Alamdaar

    Kon bane sheh ka madadgaar

    (Alamdaar) x6
    Dhal gaya din dasht mein sham jab aayi

    Aale payambar ki thi ban mein duhai

    Ban ke maseeha Haye Alamdaar

    Lot ke aaja Haye Alamdaar

    Ghar na jalaade ye sitamgaar

    (Alamdaar) x6
    Parti he nade ali ale payambar

    Kehti he rokar yahi aale payambar

    Kisse kahein hum Haye Alamdaar

    Apne sabhi gham Haye Alamdaar

    Hum huwe lachaar-o-dilafgaar

    (Alamdaar) x6
    "Mazharo irfan" wo kaisa tha manzar

Lut gaye ehle haram chin gayi chadar

Boli ye fizza Haye Alamdaar

Kyun nahin aaya Haye Alamdaar

Ban gayi khud Zainab-e-lachaar

(Alamdaar) x6