Haay..

Jab hue bazu-e-abbas qalam, darya parr..

Girke thanda hua hazrat ka alam, darya parr..

Gharke khoo hogaya wo behre karam, darya parr..

Girte hi ghode se aaqa ko pukara rokar

Shaah khaime se chale, tha yahi nauha lab par

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Sada-e-qud-o-kanam,  Baradar baradar

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Sadae teri sunkar chala hai dil pekhanjar, abbas-e-naujawanam

Madad ko aao aaqa sitam hua hai mujhpar..(2)

Labo pe aagaya dum..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Sakina dar pe baithi bula rahi hai tujhko, abbas-e-naujawanam

Tujhe khabar hai ghazi na jine dega usko..(2)

Tere bichadne ka ghum..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Tadap rahi ha behne ghashi hui ha taari, abbas-e-naujawanam

Ujad gayi abhi se waha ali ki beti..(2)

Meri kamar hui kham..(2)



Ajeeb hai ye ghurbat tadap rahe hai dono, abbas-e-naujawanam

Ye ghum mila qayamat tadap rahe hai dono..(2)

Waha tum aur yaha hum..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Utha ke khaali kuze ye tashna lab pukare, abbas-e-naujawanam

Jo tu nahi hai ghazi kise dil ab pukare..(2)

Lahu lahu hai alam..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Na jee sakunga mai bhi tere bina alamdaar, abbas-e-naujawanam

Jo tera ghar se jana rulaega alamdaar..(2)

Bapa karunga matam..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Qareebe bawafa jab pohoch gae shahedeen, abbas-e-naujawanam

Jabee se khoo hata kar ye kehte the shahedeen..(2)

Kaho hame labe dum..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Sada ye sheh ki sunkar tadap gaya alamdaar, abbas-e-naujawanam

Mujhe hai ye khijalat haram hai sab azadaar..(2)

Kaha juhi gaya dum..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar



Tu irfane wafa hai mai mazhare masaeb, abbas-e-naujawanam

Mai uska hu jo tere baya kare masaeb..(2)

Ye martaba bhi hai kam?..(2)

Baradar baradar..(2)

Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar