Ya Rab na sahar ho.

1)  Piyason kai liyai maut ka paighaam sahar hai
Chal jayai ga Shabbir ki gardan pai bhi khanjer.

2)  Is raat chamaktai hain falak per jo sitarai
Lut jayai ga aik roz main Zahra ka bhara ghar.

3)  Abbas kai shaanai bhi kalam hon gai labai naher
Chin jaayi gi kal Zainab-o-Kulsoom ki chadar.

4)  Jo seenai pai Shabbir kai soti hai Sakina
Dhundai gi na mil jayai gi lut jayain gain Gohar.

5)  Beemar ka bister bhi adu kainchain gai aaker
Pehnayain gai beemar ko woh aahain nilangar.

6)  Yeh raat agar dhal gayi sooraj nikal aya
Mur jhayai ga pardes main Zahra ka gulistar.

Link to Nauha Audio :  Ya Rab Na Sahar Ho