Toot gayi aas meri toot gaayi aas (2)

Array der hui mere chacha jaan ko sidhare (2)
Akbaro bab hai gaye nehr kinare (2)
Are amma mera qalb jala pyaas ke mare
Haye pyaas ke mare
Doobte jaate hai mere dil ke sahare

(dorray)
Abbas bohot kuch se tha zainab ko sahara
Haaey aab koi nahi alame gurbat mei hamara

Saaniye zehra yeh buka karti hai rokar (2)
Tumse to dharas si mujhe mere beradar
Baba ka farman hua aab tu mukaddar
Hua aab tu mukaddar
Cheen ke lejayenge ada meri chadar

(dorray)
Tum sharm se khaime mei bhi aye na biradar
Haaye sheh llaye the jab laasha e qasim ko utha kar

Peet ke sar kehti hai farwa mere abbas (2)
Qatl hua ibne hassan mei hhui be aas (2)
Aaye natum dene ko pursa bhi mere paas
Pursa bhi mere paas
Are hota hai aab tere haya daari ka ehsas

(dorray)
Tune mujh mehroomi mei kya shaan ata ki
Haaye kulsum ko tadpayengi taa umer judaai

Nazro mei phirta hai abhi tak wohi manzar (2)
Aashur ki shab teri wafa nakhsh hai dilpar (2)
Array kya kehke tujhe roye kare nala yeh khwahar
Haaye nala yeh khwahar
Array aab tuhi bata de mujhe aye mere biradar

(dorray)
Asgar ki na jab dekhi gaayi tashan dahani
Maine di tassaalli use aane ko hai paani

Re haaye mere nanhe se asgher ke chachajaan (2)
Re banu e shabbir bohot tumpe thi naadan (2)
Re pyaasi hi magar jayega ab asgher nadaan
Haye asghere naadan
Haaye ghar ke ujad jaane ka bhi hogaya samaan

(dorray)
Baarat bhatijiki chacha jaayenge lekar
Array is aas mei atthara bars pala tha akbar

Akbar mera ab ban na sake ga kabhi dulha (2)
Tukde huwa sab hasrato armaan ka kaleja (2)
Hai armaan ka kaleja
Kya dekhte hi dekhte hogaya bhayya

(dorray)
Sheh kehte the baaki na alamdaar na laashkar
Array zainab ye badhado alam e dilbar e haider

Taarekh ne maqtal mei anees is tarha likhkha (2)
Woh sina zani aur qayamat ka tha girya (2)
Sar peet te the zere alam dilbare zehra
Hai dilbare zehra
Haaye sukhe hue hoton pe tha purdard ye nawha