teero ke musalle par wo sajdaye shukrana
shabbir ne batlaya islam pe mar jana

ek teer ali asghar ki gardan pe laga aakar
masoom ka has dena aur maut ka ghabrana
teero ke musalle....

mayyat ali asghar ki hathon pe utha bole
allah tere aagay shabbir ka nazrana
teero ke musalle....

hyder ki shuja-at ka andaz nazar aaya
wo sham e ghariban may zainab ka na ghabrana
teero ke musalle....

sar ki thi bina chadar suraj bhi na nikla tha
ye saniye zehra hai ummat ne na pehchana
teero ke musalle....

ta hashr rulayega maula ki tarari par
dul dul ki raqabo se beti ka lipt jaana
teero ke musalle....

kuch is tarha laash aayi ek raat ke byahe ki
afsos ke madar ne bete ko na pehchana
teero ke musalle....

darbar may fizza ne logon se kaha rokar
aati hai nabi zadi tazeem ko jhuk jaana
teero ke musalle....

dunya to na bhoolengi abbas wafa teri
talwar nahi khaynchi aaqa ka kaha maana
teero ke musalle....

barchi ali akbar ke seene se nikali thi
dekha na gaya shah se yun dil ka nikal aana
teero ke musalle....

ye maa ki wasiyat thi abbas e dilawar ko
jab deen pe ban aaye tum deen pe mar jaana
teero ke musalle....

socho to musalmano ye baat hi kya kam hai
ahmed ki nawasi ka darbar may aa jaana
teero ke musalle....

saydaniyo ka us waqt kya haal hua hoga
masoom ka ro ro kar zindan may mar jaana
teero ke musalle....

dunya to na bhoolega manzar ye kabhi nasir
saanche may imamat ke quran ka dhal aana
teero ke musalle....