Haye Sajjad Haye Sajjad

Taaziyaaney shimr ke aur naatawa Sajjad hai
Phir bhi leykar chalrahaa sab kaarwaa Sajjad hai

1) Deen ka hal ilm e hyder asmat e aal e Rasool
Aur Quran e qudaa ka paasbaa Sajjad hai

2) is qadar rona lahoo ka karta hai zaaher yehii
Aal e Ahmad ke masaayab ka quraa Sajjad hai

( Mazloom Husain ki zindagi ka Sajjad hai kul sarmaaya
Tha markaz itna gairat tha aankho se qoon barsaaya
Karbal se leykar Shaam talak har zulm o Sitam apnaaya
Saayebaa ki tarah tha Deen pey kiyaa Sajjad ney apna Saaya)

3) jis tarah hai is zamee par aasmaa Saaya figan
Us tarah hi dee ke sarr par saayebaa Sajjad hai

4) paas rakhkar kuch Kahaa na qaatil e Akbar Ko bhi
Dekho kitna hi rehm Dil mehrbaa Sajjad hai

(Aashoor ke Roz zayeefi Mey gayi ho tabdeel jawaani
Shabbir ke ghar Mey eak bachii Sajjad hai paak nishaani
Taareeq ka jisko yaad raheyga har ek ek ba zubaani
Sajjad hai Dard o aalam ki wo aisi purdard kahaani )

5) qatm ho Sakti nahi jo hashr tak bhi aye Ameen
Dard o ghum ki eak aisi daastaa Sajjad hai