ya ali adrikni, ya ali adrikni
dasht may looti gaye aale rasoole madani
ya ali adrikni, ya ali adrikni
haye be aab huwe qatl hussaini hassani
ya ali adrikni, ya ali adrikni

dasht wo tapta huwa, dhoop may aal-e-abaa
khaak pe baitha huwa, karta hai ro kar buka
kaisi taqdeer may likhi thi gharibul watani
ya ali adrikni ...

shaah ka wo nusrati, kaisa huwa jannati
zaanu-e-sibte nabi, aur sar-e-hurr-e-jari
koi hur jaisa nahi duniya may qismat ka dhani
ya ali adrikni ...

fatema zehra ka laal, pyaas se ran may nidhaal
aata hai aksar khayaal, kissay karoo ye sawaal
maalik-e-kausar-o-tasnim ye tashna dahani
ya ali adrikni ...

bacha bhi chay maah ka, pyaas say tadpa kiya
teer-e-sitam kya chala, chid gaya nanha gala
teer sahe pehlu aur asghar ki ye ghuncha dahani
ya ali adrikni ...

kehti thi rokar ye maa, haaye mera be-zubaan
haaye ye nanhi si jaan, toota na kyun aasman
ye sitam aur mere asghar ki ye naazuk badani
ya ali adrikni ...

haaye wo kadiyal jawan, gir pada khaakar sina
ro diya ye aasman, baap ka azm-e-jawan
shah-e-deen khaynchte hai sinay say barchi ki ani
ya ali adrikni ...

laash pe kehti hai maa, ay mere kadiyal jawan
saal tha attharawan, haaye ye zakhm-e-sina
dekhiye aake jawan laal ki gul pairahani
ya ali adrikni ...

sayyad-e-abraar hai, nargha-e-kuffaar hai
dar pay ye aazaar hai, teeron ki bouchaar hai
jism shabbir ka teeron se hai chalni chalni
ya ali adrikni ...

zainab-e-aali muqaam, tumpe hai laakhon salaam
ummat-e-khairul anaam, khoob kiya ehteraam
be-rida saani-e-zehra huwi baazu rasani
ya ali adrikni ...

ya mere mushkil kusha, khalq ke haajat rawa
aap pe mehshar fida, kardo ishaara zara
sang reze abhi hojayenge laal-e-yamani
ya ali adrikni ...