Hai Likhta Ravi Ba Aah o Zaari
Hui Jab Qatal Sheh a.s ki Fouj Sari
Achanak Aai Haider a.s ki Sawari
Tarap kar Sani-e-Zahra s.a Pukarin
Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a

(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Sukhan ye Sun Kar Haider a.s Ro Ke Boley) x2
Na ro Phat'ta hai Dil Roney se Terey
Ley Aansoo Ponchh Ley Daman se Merey
Me Baba Hoon Tera Baba Hoon Zainab s.a Mujhy Pehchan Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Chali Jis Roz Tu Shehr e Nabbi s a.w.w Se) x2
Lehad Zahra s.a Ne Chhori Hai Tabhi Se
Merey Din Raat Guzrey Bey Kali Se
Nahi Ek Pal Raha Ghafil Me Tujhsey Terey Qurban Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Suni Zainab s.a Ne Jab Awaaz e Haider) x2
Kalejey Per Chaley Dukhiya Ke Khanjar
Pukari Ro Ke Wo Mazloom o Muztar
Ab Aaey Ho Chali Jab Qaid Ho Kar Soo-e-Zindaan Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Luta Ghar Chhin Gai Sar Se Ridaayen) x2
Ham Apney Sar Kahan Ja Kar Chhupaayen
Faqat Khaiymon ki Jalti Lakriyaan Hain
Batao Tum Bhala Qaboo Mein Kaisey Rakhey Ausaan Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Soo-e-Maqtal Zara Dekhyen to Baba) x2
Para Hai be Kafan Bhayya ka Lasha
Garra Hai Seena-e-Akber a.s Me Naiza
Nahi Hai Sar Kissi Lashey Ke Sar per Bohat Heran Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Zara Darya Pe Jaa Ke Dekho Baba) x2
Kata Ke Haath Wahn Sota Hai Saqqa a.s
Wo Jisko Dekh ke Dil Keh Raha Tha
Rassan Baazoo Me Koi Terey Baandhey Nahi Aasaan Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Sada Shabbir a.s Ki Meydaan Se aai) x2
Jigar Ko Thaam Ley Zahra s.a Ki Jaai
Luti Bano s.a Ki Sehra Mein Kamaai
Fida Mujh Pe Hua Hai Teer Kha Ker Tera Nadaan Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Merey Aun o Muhammad <a.s.a> Bhookey Payasey) x2
Jab Aaey Ran Se Un Dono Ke Laashey
To Aansu Bhi Meney Nahi Bahaey
Daba Ke Reh Gai Hai Dil Me Apney
Bohat Arman Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Hua Tukrey Badan Qasim a.s Ka Merey) x2
Hai Taaza Phool Bhi Sehrey Ke Jiskey
Uddu Ne Laash Per Doraaye Ghoorey
Jab Aai Laash Uss Karyal Jawaan ki Hui Bejaan Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x2

(Masaaib Tum Pe Jo Tootey Hain Bibi s.a) x2
Na Likh Paaye Ga Koi Hashar Tak Bhi
Magar Khuwahish Hai Meri Sirf Itni
Kiyye Jo Kaam Tuney Baad-e-Sarwar a.s Likhey Rehan Zainab s.a
(Futada Paikarat Uryaan Baradar
Baradar Jaan Zainab s.a) x3