Zara sa pani

Haaye
Hussain a.s Jab Key Chaley Aey Bad-e-Dopehar Ran Ko
Na Tha Koi Key Jo Thaamey Rakab-e-Tousan Ko

Sakina s.a Thaam Rahi Theen Abaa Key Daman Ko
Hussain a.s Chup Ke Kharey Hain
(Wa Ghurbata Wa Museebata) 2x

Hussain a.s Chup Ke Kharey Hain
Wa Ghurbata Wa Museebata
Hussain a.s Chup Ke Kharey Hain
Nazar Alam Per Garri Hui Hay
(Sakina s.a Thaamey Abaa Ka Daman) 2x
(Ye Apney Baba a.s Sey Keh Rahi Hay) 2x
Aye Payarey Baba Qasam Tumhari
Main Tishna Lab Hoon Zara Sa Paani
(Wa Ghurbata Wa Museebata) 2x


Chacha a.s Sey Aye Baba a.s Jaan Keh Dain
Sakina s.a Payasi Hai Teen Din Sey
(Zaban Pe Kaantey Parey Huye Hayn) 2x
(Key Mashk Khali Hai Teen Din Sey) 2x
Lo Baba a.s Dekho, Mashk Khali
Main Tishna Lab Hoon Zara Sa Paani
(Wa Ghurbata Wa Museebata) 2x


Mujhey Hai Ehsaas Mery Baba a.s
Key Ham Sey Payasey Ho Tum Ziyada
(Karoon Gi Tum Sey Na Phir Taqaza) 2x
(Hai Baba a.s Beti s.a Ka Tum Sey Wada) 2x
Main Tum Pey Sadqey, Main Tum Pe Wari
Main Tishna Lab Hoon Zara Sa Paani
(Wa Ghurbata Wa Museebata) 3x
Zara Sa Paani