" YA BABUL HAWAIJ ASGHAR (as) "

Ya Bab e Hawaij
Chote Hazrat Ke Bhateeje, Chote Shehzaade Mere
Chote Shehzaade Mere Bab e Hawaij Asghar (x2)
Poori Kardo ye Dua
Meri Haajat Ho Rawaa
Khatm Ho Gham Ka Safar…

1.
Tere Jhoole Ko Banaya He Waseela Maula
Ansoo’oun Se Tujhe Likhte Hain Areeza Maula
Bus Haqeeqat He Yahi
Maula Mumkin Hai Sabhi
Aap Chahain Jo Agar… Bab e Hawaij Asghar

2.
Cheyh Muharram Ko Jo Uthta Hai Tumhara Jhoola
Muntazir Rehte Hain Uss Din Ke Liye Ahle Aza
Maangte Hain Ye Dua
Karde Aulaad Ata
Mere Maula Ke Pisar… Bab e Hawaij Asghar

3.
Girwi Karte Hain Yoon Bachon Ko Tere Jhoole Se
Dooriyan Baand Ke Karte Hain Hawaale Tere
Hain Zamanat Me Teri
Matami Bache Sabhi
In Pe Rakhiye Ga Nazar… Bab e Hawaij Asghar

4.
Jo Jhoolaati Hain Azakhaano Me Jhoola Khaali
Jholiyan Rakhna Na Un Maaon Ki Maula Khaali
Aisi Aulaad Mile
Naukari Teri Kare
Itna Ehsaan To Kar… Bab e Hawaij Asghar

5.
Paayi Fitrus Ne Jo Shabbir Ke Jhoole Se Shifa
Tera Gehwaara Bhi Karta Hai Zamaane Ko Ata
Ae Sakhi ibn Sakhi
Cheyh Maheene Ke Ali
Hai Sakhi Aap Ka Ghar… Bab e Hawaij Asghar

6.
Chahe Kamsin Ho Magar Bhai To Hota Hai Bharam
Sir Pe Behnon Ke Rahain Bhai Salamat Har Dam
Kijiye Apna Karam
He Sakina Ki Qasam
Baagh e Zehra Ke Shajar… Bab e Hawaij Asghar

7.
Honsla Ham Ko Bhi Karde Vohi Mushkil Me Ata
Azm Jo Tu Ne Dikhaya Tha Sar E Karbobala
Teer Gardan Pe Laga
Ro Diye Ahle Jafa
Aap Roye Na Magar… Bab e Hawaij Asghar

8.
Bakhuda Mesum o Salman Aqeeda He Yahi
Apne Ammu Ki Tarha Bab e Hawaij Tum Bhi
Hum Tumhare Naukar
Tum Se Maange Na Agar
Phir Bhala Jaayen Kidher… Bab e Hawaij Asghar

(Salman Azmi)