Ya Hussain as Ya Hussain as
Hussain as Ya Hussain as
Ya Hussain as Ya Hussain as

Tareekh Zamany Say Yeh Kiya Poch Rahi Hay

Zahra sa Tere Bachon Ki Khata Poch Rahi Hay

Koch Khaak Orha Laon Main Parday Kay Liye Aur
Zainab sa Kay Khulay Sir Say Hawa Poch Rahi Hay

Saya Sir-E-Shabbir as Pay Main Kese Banaoun 
Nezay Pay Yeh Zainab sa Ki Ridaa Poch Rahi Hay

Baysheer Ki Maa’n Hazrat-EZainab sa Say Lipat Kar
Farzand K Bachney Ki Dua Poch Rahi Hay

Hanstey Hain Sitamgar Tou Darbar May Zainab sa
Sajjad as Say Marney Ki Dua Poch Rahi Hay

Kiyun Aayi Nahi Lout Kay Masoom Sakeena sa
Zainab sa Say Madiney Ki Fazaa Poch Rahi Hay

Kiya Hoga Mere Lotney Ka Badla Mere Mola
Mehdi ajf Say Yeh Zainab sa Ki Ridaa Poch Rahi Hay

Tauqeer Adaa Kardiya Kiya Farz Azaa Ka
Momin Say Yahi Khaak-E-Shifa Poch Rahi Hay