Lo aa gaya bulawa
Sultan e Karbala ka
Jaga he muqaddar phir
Mehman e Karbala ka

Ya Hussain, Ya Hussain

Jaldi qadam barhao, Ay ashiqan-e-Maula
He muntazir tumhari, karbobala me Zahra

Sarhad pe karbala ki, Abbas bhi khare hein
Thamey huwe alam ko, tum se ye keh rahe hein

Khushamdid, Khushamadeed! Ay zairo, Khushamdeed

Safar e Ishq e Hussain

Wo ek sultanat-e-ishq, naam Karbobala
Azal se parcham-e-Abbas he nishaan jiska
Jahan pe naqsh he Maula Hussain ka sajda
Wahan pe karne ko Sajda, bula rahi he karbala, Bula rahe hein Hussain

Baghayr izn yahan koi aa nahi sakta
Ho khush naseeb ke tum aa rahe ho karbobala
Jo zaireeen me shamil tumhara naam huwa
Karo, na shukr ka sajda, bula rahi he karbala, bula rahe hein Hussain

Safar naseeb nahi sab ko ye khuda ki qasam
Hussain rakh-te hen khud apne zairon ka bharam
Agar, magar nahi socho, barhao apne qadam
Zara bhi der na karna, bula rahi he karbala, Bula rahe hein Hussain

Ye karbala ka safar, ba-khuda mawaddat he
Ajeeb tarz-e-muhabbat he ye ibadat he
Har ek munkir-e-Shabbir se baghawat he
Na rok paye gi dunya, bula rahi he karbala, Bula rahe hein Hussain

Ye karbala hi bataye gi itmenaan he kya
Najaf se Karbobala ke safar ki shaan he kya
Sabhi hen ek se, boorhay hein, aur jawan he kya
Har ek lab pe he naara, bula rahi he karbala, Bula rahe hein Hussain

Habib ne he ye zauja se apni farmaya
Bulawa aysa kisi ko kabhi nahi aaya
Hussain ne mujhe khat bhej kar he bulwaya
Mujhe he farz nibhana, bula rahi he karbala, Bula rahe hein Hussain

Rihayi shaam ke zindan se jo Haram ko mili
Tarap ke reh-gayi us waqt haye bint-e-Ali
Larazte lehje me Aabid ne jab sada he ye di
Khudara utho Sakina, bulaa rahi he karbala, Bula rahe hein Hussain

Haa is zameen pe firdausi silsile honge
Bashar ki shakl malaik ke qafele honge
Jo zaireen ki khidmat ke waste honge
Naseeb dekho tumhara bula rahi he karbala, Bula rahe hein Hussain

Itni asaani se tum log karo ge ye safar
Par suno aal-e-muhammad ke safar ka manzar
Nahi pani ki sabiley thi, na saya, na shajar
Shah ke kunbe pe baraste rahe har dam pathar
Uski behno ka tha rassi me gala
Na tawan beta he kanton pe chala
Pani beti ko mayassar na huwa
Khud woh neze pe tarapta hi raha

Dekho par Mesum o Salman kareemi ye zara
Apne zawwaron ko deta he wo ab bhi ye sada