Mere bhaiyya abbas.. (4)

Zindaan se chhut kar aal e abaa
jab chehlum karne karbobala
pohche to lahad par ghazi ki
zainab ne kiya tha ye nauha..(3)
mere bhaiyya abbas..
mere bhaiyya abbas..(2)

Shaam wale dikha ke jab chadar..(2)
mere sajjad ko rulate the
kaash abbas tum waha'n hote

1. Mai teri laadli sakina ko
tera chehlum manane laa na saki
khoon mein doobi baliya'n uski
bhaiyya tujhko dikhane laa na saki
haye bin baap ki sakina ko
jab tamache la'ee lagate the
kaash abbas tum waha'n hote..

2. Paani bachhi ke saamne laate
phir use khaak par girate the
usko kehkar ghareeb ki beti
dil sakina ka wo dukhate the
khaich kar jab rasan sakina ko
chalte naaqe se wo girate the
kaash abbas tum waha'n hote..

3. Mere zakhmo'n se khoon jaari tha
aur lab par mere duhayi thi
shaam walo ne meri aamad par
shaam ki har gali sajayi thi
jab ta'arruf haram ka hota tha
naam lekar mujhe bulate the
kaash abbas tum waha'n hote..

4. Shaam wale khushi se kehte the
badr o khaibar ka le liya badla
aaj laye Ali ki beti ko
majma e aam mein rasan basta
ek baaghi ki hai behen qaidi
bas ye kehkar mujhe rulate the
kaash abbas tum waha'n hote..

5. Mere mazloom bhai ke sar ki
karke tauheen mujhko tadpaya
saamne saikdo la'eeno ke
haye sadaat ko rulaya tha
amma Zehra ki yaad aati thi
jab wo darbaar mein bulate the
kaash abbas tum waha'n hote..

6. Haaye unnees (19) manzilo ka safar
har qadam zakhm khate rehte the
mujhko chadar kahi'n jo mil jaati
phir sitamgaar cheen lete the
kya kahu dil pe kya guzarti thi
jab sina par rida dikhate the
kaash abbas tum waha'n hote..

7. Mazhar e kibriya ki beti ke
har masaeb pe jaan hai qurbaan
ek misre mein hogaya pursa
kya sunaye ye arif o irfan
shaam wale dikhake jab chadar
mere sajjad ko rulate the
kaash abbas tum waha'n hote..
kaash abbas tum waha'n hote..(2)