Wa SayedaHijaba Wa Ghurbata
*Oh! my Veil Oh! my helplessness *

Bazaar May Bay Parda Nabi Zadi Khari Hay
*Without hijab standing in the town square is the daughter of the Prophet (pbuh)*
Har Morh Pay Marnay Ki Dua Mang Rahi Hay
*Pleading to Allah (SWT) to give her death on every turn *

Hay Hathon May Pathar Abhi Aai Nahi Zainab 
*hands ready to hurl rocks while Zainab (AS) hasn’t arrived *
Bazaar May Pahly Say, Hi Ik Bheerh Lagi Hai
*The mob is gathered in the town square already prepared*

Is Gham Ki Aziyat Koi Sajjad as Say Pochay
*Ask Sajjad (AS) of the agony from this grief *
Bachpan May Sakina (AS) sa Ki Kamar Kese Jhuki Hay
*When The spine of Sakina has arched in her childhood*

Bazaar Say Lagta Hay Guzrtay Hain Janazay
*It seems as if caskets are passing on the streets*
Khamosh Har Ik Bibi sa Hay Marney Ki Kami Hay
*Speechless is every lady very close to death*

Hay Akhiri Manzil Esay Darbar Na Samjho
*Consider not (it as the summon to the palace), rather it is the last stage *
Maqtal Ki Taraf Shah Ki Humsheer Chali Hay
*The sister of Husain (AS) is rushing to the place of her murder*


Tasbeeh Kay Daano’n Ki Tarhan Aik Rassan May
*Like the beads in a rosary all tied in one rope*
Har Umr Ki Zahra sa Hay Ju Paband Khari Hay
*Standing restrained are a Zehra (AS) of every age*


Naam Ata Hai Zainab sa Ka Sharabi Ki Zubaan Par
*When a debaucher takes the name of Zainab (AS)*

As’aan Naa Roonday Gal Mukhwendi
*We would not wail and may forget everything*
Eya gaal jigar kon khaa gai
*But this fact has ripped our hearts apart*
Wo darbar di peshi rabba bibi zainab di
*That Lady Zainab was taken by price to the palace (of Yazid (LA)!)*
O Saday Sabeya Raam, Raam , Haey Eya Raam Mukagai
*Our restfulness ended (and became restlessness)*

Naam Ata Hai Zainab sa Ka Sharabi Ki Zubaan Par
*When a debaucher takes the name of Zainab (AS)*
Sajjad as Ki Ghairat Pay Qayamat Ki Ghari Hay
*It was the moment of trial for the ‘sense of honor’ of Sajjad (AS)*

Khoo’n Roney Ko Qaim ajf Kay Ye Kafi Hay Takallum
*O Takallum! It is sufficient for Qaim to cry blood*
Zainab sa Ki Taraf Daikh Kay Duniya’n Ye Hansi Hay
*When the onlookers laugh looking at Zainab (AS)*