Hussain...
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain, Hussain


Maula tum hamare, maula hum tumhare..(2)


Maula, Maula salaam aap pe sadd baar ya hussain
sab ishq e hussaini mein hai sar shaar ya hussain
sab pe ho karam aapka sarkaar ya hussain




hazir hai, hazir hai
hazir hai azadar, azadar ya hussain




azadar..(5)
Maula tum hamare, maula hum tumhare..(2)




Hum charagh e mustafa ke parwane, aye zamane
azadar, azadar, azadar
Panjetan ke naam ke hai deewane, aye zamane
hamara dil, hamari jaa'n
hamari ek hi zabaa'n
hai hamare seeno par likha hua
azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain


azadar..(5)
jiye jiye jiye karbala, jiye ya hussain, jiye azadar


1. Haan..
Makka, madina o najaf, karbala
ishq e khuda ka hai yehi raasta
Fatema, Hasnain, Ali lafatah
qibla e mann naaqa Rasule khuda
ek sukhan, ek lagan, ek zabaa'n, ek dahan
Panjetan ke naam par nisaar hai
hum hai wafadar e khuda, naam e Mohammad pe fida
Khatim e rasool e kirdigaar




hamara dil, hamari jaa'n
hamari ek hi zabaa'n
hai hamare seeno par likha hua
azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain
azadar..(5)
hussain jaan hussain..(2)
hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain
hussain jaan hussain..(2)
hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain




2. Haan...
Haan mai wafadaar hu shabbir ka
haan mai azadar hu shabbir ka
munis o ghumkhwaar hu shabbir ka
matami zawwar hu shabbir ka
ashk e aza, meri dawa, farsh e wila, ishq mera
hum dar e maula ke talabgaar hai
pehne hue shaal e aza, dil mein liye karbobala
maula tere qaafle tayyar hai




hamara dil, hamari jaa'n
hamari ek hi zabaa'n
hai hamare seeno par likha hua
azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain
azadar..(5)




3. Haan...
Karbobala kya hai batate chalo
momino is ghum ko manate chalo
farsh e aza milke bichate raho
parcham e abbas utha te raho
milke raho, milke chalo, aisa bano, aisa karo
jaisa ke qur'aan ka farmaan hai
haq pe jiyo, haq pe maro, pyaar karo, saath raho
karbobala ki yehi pehchaan hai




hamara dil, hamari jaa'n
hamari ek hi zabaa'n
hai hamare seeno par likha hua
azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain
azadar..(5)
jiye jiye jiye karbala, jiye ya hussain, jiye azadar




4. Haan...
Saara jaha'n halqa e matam mein hai
ghum ki fiza maah e moharram mein hai
ishq e khuda pyaas ke mausam mein hai
maula mera dard ke aalam mein hai
aao chale, karbobala, karne ko matam ye bapa
parchame abbas nigehbaan hai
aati hai zainab ki sadaa, aagaya jo karbobala
fatema zehra ka wo mehmaan hai




hamara dil, hamari jaa'n
hamari ek hi zabaa'n
hai hamare seeno par likha hua
azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain
azadar..(5)
hussain jaan hussain..(2)
hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain
hussain jaan hussain..(2)
hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain




5. Haan..
Badhta rahe qafela shabbir ka
marhala dar marhala dar marhala
tay ho safar sarwar o rehan ka
silsila dar silsila dar silsila
chaman chaman, kali kali, nagar nagar, gali gali
maqsad e shabbir batate chalo
hoga karam, qadam qadam, leke chalo, shaah ka ghum
parcham e abbas uthate chalo




salaam ya hussain
salaam ya hussain
azadar..(5)
Maulaa.....




Anmol la zawaal ye rishta hai azadar
khadim hai azadar to aaqa hai ya husssain




Wallah, Wallah
Anmol o la zawaal ye rishta hai azadar
khadim hai azadar to aaqa hai ya husssain
Ya hussain




Duniya mein jo hussain ka banta hai azadar
naslo ko ba muraad banata hai ya hussain
Ya hussain




Jo bhi ghum e hussain manata hai azadar
uske sabhi ghumo ko mitata hai ya hussain
Ya hussain




Farshe azaa jo ghar mein bichata hai azadar
ghar aise khushnaseeb ke aata hai ya husssain
Ya hussain




Matam jo sheh ka dhoop mein karta hai azadar
daman mein usko apne chupata hai ya hussain
Ya hussain




Abbas ka alam jo uthata hai azadar
usko wafa sheyaar banata hai ya hussain
Ya hussain




Rutba agar shaheed ka paata hai azadar
markar bhi jeena usko sikhata hai ya hussain
Ya hussain




Jo rizq bhi naseeb se pata hai azadar
deta khuda hai aur dilata hai ya hussain
Ya hussain




Labbaik ya hussain jo kehta hai azadar
zawwar usko apna banata hai ya hussain
Ya hussain




Salam ya hussain..(3)
Salam salam salam ya hussain..(4)
Salam ya hussain