Abbas a.s Na Loutey

Abbas a.s Na Loutey (2)

Maqtal Ki Zameen Bha Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai Abbas a.s Na Loutey (2)

Maqtal Ki Zameen Bha Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai Abbas a.s Na Loutey

Kiss Shan se Maqtal ko Sidhaara tha Alamdar a.s (2)
Aadaa l.a ki Nazar Kha gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai, Abbas a.s Na Loutey (2)

Behta hua Kaano’n Sey Lahoo Sookhey Huye Lab (2)
Dikhlaney Sakina s.a Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai, Abbas a.s Na Loutey (2)

Deti Rahi Aawaz Pe Aawaz Sakina s.a (2)
Aakhir Ko Qaza Aa Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai, Abbas a.s Na Loutey (2)

Kiya Jaaniye Kyun Rooth Gaye Kehti Theen Zainab s.a (2)
Rukhsat Ki Ghari Aa Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai, Abbas a.s Na Loutey (2)

Paani Ke Liye Mashk O Alam Ley Ke Gaye They (2)
Din Dhal Gaya Raat Aa Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai, Abbas a.s Na Loutey (2)

Khaimo’n Main Lagi Aag Tou Ammo a.s Ko Bulaney (2)
Masoom Sakina s.a Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai, Abbas a.s Na Loutey (2)

Maqtal Ki Zameen Bha Gai Abbas a.s Na Loutey
Sheh a.s Aa Gaye Mashk Aa Gai Abbas a.s Na Loutey
Abbas a.s Na Loutey (3)