Haye Ali....

Ro rokey ali kyu letey hai zainab ka naam Musalley par

Kya yaad Ali ko aaya hai baazaar e shaam Musalley par

1) khoo'n jaari tha zaqmi sarr se rotey they namaazi saff mey khadey

Kis tarha Hasan Ney rorokar kii fajr tamaam Musalley par

2) Kya maa ki tarha leney tumko masjid mey chali aaye Zainab

Baba ko jaakar do fizza Mera paigaam Musalley par





3) haaye

Zaqmi pehlu jab yaad aaya zaqmi peyshaani bhoolgaya

Zehra ki museebat par royaa mazloom imam Musalley par

4) ye pehli fajr hai zainab ki sajdey mey sukoo'n miltaa hi nahi

Dil doobta hai aata hi nahi ek pal Aaraam Musalley par

5) deewaar e kaaba baithgayi alhamd lahoo mey doobgayi

Ummat se milaa hai Maula ko kaisa in'aam Musalley par

6) us gairat daar ki gurbat par roti hai Ali ki gurbat bhi

Chaalees baras Jo kehta rahaa as'shaam as'shaam Musalley par

7) shabbir ki jaanib se Akbar khaatil ko pilaaya tha sharbat

Jab yaad Ali ko aaya tha ek tashna kaam Musalley par