Ya ali, ali haider maula..(2)
Haaye,
Aaj ke suraj ne khabar kaisi sunayi
aasmaa'n deta hai duhayi
rone lagi saari khudayi
uth gaya zainab o kulsoom ke sar se saaya..(2)
nauha jibreel ye karte the khudaya
Asadullah ali, ali haider maula
Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(2)

1. Wo ali jisko ataa rabb se hue tegh o alam
uski gardan mein rasan bandhi gayi haaye sitam
wajhullah ali.. ali haider maula
aayi kufe ke gali kucho se bus ek sadaa
Allah mere Allah
kis tarha ghum ye qayamat ka uthega

Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

2. Jiske chehre ki ziyarat ho ibadat ki sanad
shab ki tanhayi mein karta tha ghareebo ki madad
hay yadullah ali.. ali haider maula
tegh jab sar pe lagi chehra hua khoon mein tarr
Allah mere Allah
farsh e ghum saniye zehra ne bichaya

Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

3. Jisne bin dekhe khuda ko kabhi sajda na kiya
us namazi pe hui sajda e khaliq mein jafa
aynullah ali.. ali haider maula
khana e fatima zehra mein gayi ghum ki khabar
Allah mere Allah
phaika shabbir ne ye kehke amaama




Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

4. Jiske abroo ke ishare pe chale shams o qamar
aise insaan pe girya na kare shams o qamar
yuridullah ali.. ali haider maula
baap ko ghusl o kafan dete hi shabbar ne kaha
Allah mere Allah
hashr tak royega ye kehke zamana

Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

5. Warise ilm e nabi natiq e qur'an ali
hai tere ghum me jaha'n chaak garibaan aali
lisanullah ali.. ali haider maula
nauha ye baap ke taboot pe zainab ne kiya
Allah mere Allah
baba aghaaz hua karbobala ka

Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

6. Khana e fatima zahra mein qayamat hai bapa
koi matam mein hai masroof koi mehwe buka
kaaba rota hai ali.. ali haider maula
betiya'n nauha kuna khaak udate hai pisar
Allah mere allah
thaam ke qalb o jigar kehti hai fizza

Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

7. Ghar ke darwaze talak zainab e nashaad chali
saath taboot ke jibreel ki faryaad chali
kaisa girya hai.. ali ali haider maula
ambiya karte hue bayn falak se utre
Allah mere Allah
farsh se arsh talak shor yehi tha

Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

8. Mazhar o Irfan ye ghum sab se bada hai
zakhm jo zainab ko yatimi ka mila hai
Roke zainab ne kaha, kaash aajaye qaza
maa ka ghum bhuli nahi thi ke mila baap ka ghum
Allah mere Allah
mujhko taa hashr rulayega ye jumla

Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3)

Azamallahu ujuruna wa ujurukum
be musabina maula ali