-- Kazim utha rahe hein Jaffar ka janaza Haye Hussain keh kar aansu baha rahe hein

1) Taboot ko utha kar, jitne qadam barhaaye Har ek qadam pe unko, Sajjad yaad aaye Aabid ki bebasi ka, nauha suna rahe hain -- Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

2) Mansoor ne ghiza me, zehr-e-jafa diya tha Mazloom ke badan par, jiska asar huwa tha Aflak se malaik, purse ko aa rahe hein -- Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

3) Nikla dahan se bahar, haye jigar jo kat kar Khoon rang ho gaya tha, maula ka mere bistar Manzar ye ehle dil ke, dil ko dukha rahe hein -- Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

4) Haidar se dushmani ye, ab tak nahi ruki he Maula Hasan se le kar, Jafar tak aa gayi he Har ek charagh-e-zehra, zalim bujha rahe hein -- Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

5) Aulad-e-Sayyada me, aysa he ye janaza Jisme Madine waley, dene ko aye pursa Ehle Madina sare, ye gham mana rahe hein -- Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

6) Jafar ke zehn me bhi, Kazim ka he janaza Mayyat utha ne wala, waris koi na hoga Zere kafan bhi Jafar, khoon rote jaa rahe hein -- Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza

 7) Salman aur Mesum, dekha ye khwaab aksar Bad-e-zahoor-e-Maula, Mehdi baqee me aa kar Zehra ka aur inka, Rauza bana rahe hein -- Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza