Haye Ali, Haye Haye Ali

Behta he khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein
Zehra ka ghar luta hain haye rah-e-khuda mein Behta he khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein 

Ek fajr par hain Sajda, Ek sajda asr par hain
Ek simt par hain beta, Ek simt par padar hain
Kya farq hain batao, dono ka is jafa mein
Kufa mein Karbala mein
Behta hain khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein 

Kufay mein Murtaza ki, Beti pe hein yateemi
Shabbir ki yateema, Karbobala mein ujri Hain
Zainab o Sakina, Ek dard ki fiza mein
Kufay mein Karbala mein 
Behta hain khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein
div class="separator" style="clear: both; text-align: center;">
Kulsum aur Zainab, parh-ti rahi hein nawha
Baba ko zakhmi dekha, Bhai ko zakhmi dekha
Manzar hain ek jaysa, iss dehr-e-be-wafa mein
Kufay mein Karbala mein
Behta hain khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein

Maloom tha Ali ko, sajda na hoga pura
Sarwar ko bhi pata hain, ab aakhri hain Sajda
Sar ko jhukaya phir bhi, tazeem-e-kibriya mein
Kufay mein Karbala mein
Behta hain khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein

Qasim ke woh tukray, ya ho gulu-e-asghar
Akbar ka ho woh seena, ya bazu-e-dilaawar
Imran ka khoon baha he, haye bughz-e-Murtaza mein
Kufay mein Karbala mein
Behta hain khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein

Salman aur Mesum, tareekh he bata-ti
Guzri hain zindagi bas, aulad-e-Sayyeda ki
Matam me Murtaza ke, Shabbir ki aza mein
Kufay mein Karbala mein
Behta hain khoon-e-Haider, Kufay mein Karbala mein