(Ya Rab Ya Rab) x2

Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud

    (Yeh Nehr Ye Mojein Yeh Machalta Hua Pani) x2

    (Aankhon Mein Meri Kanta Sa Chubhta Hua Pani) x2

    Kehta Hai Meray Khon Sa Ubalta Hua Pani

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Meray Khuda Dekh Meri Tashna Labi Ko) x2

    (Khoon Rulatay Hain Yeh Din Aal(a.s.)-e-Nabi Ko) x2

    Milti Nahin Nehr Say Eik Boond Kisi Ko

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Waada Hai Mera Tashna Dahan Bachchon Say Maula) x2

    (Le Aaonga Khaimon Ki Taraf Khainch Kay Dariya) x2

    Lekin Meri Taqdeer Mein Hai Aur Kuch Likha

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Meri Wafa Sakht Musibat Mein Ghiri Hai) x2

    (Main Hon Alamdar(a.s.) Laqab Mera Jari(a.s.) Hai) x2

    Piyasi Bhatiji(s.a.) Dar-e-Khaima Peh Kharhi Hai

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Mash To Main Bhar Chuka Faujon Ko Bhagakar) x2

    (Lekin Tu Gawah Rehna Meray Lab Na Huey Tar) x2

    Jana Hai Khaimon Ki Taraf Mashk Bachakar

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Mera Jo Alam Nehr Kay Seenay Peh Garha Hai) x2

    (Be Taigh Yeh Qabza Jo Abhi Main Nay Kia Hai) x2

    Seh Roz Say Ya Rab Tu Magar Dekh Raha Hai

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Waaday Ko Nibhanay Ki To Mohlat Mujhay Deday) x2

    (Sharmina Na Kar Bachchon Say Izzat Mujhay Deday) x2

    Yeh Baat Na Dohraaon Woh Taqab Mujhay Deday

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Pani Ko Kabhi Aag Lagatay Nahin Dekha) x2

    (Piyasay Ko Musafir Ko Satatay Nahin Dekha) x2

    Ashkon Ko Lahoo Mein Nay Banatay Nahin Dekha

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Paani Nay Yahan Khoon Mera Kardia Paani) x2

    (Yaad Aati Hai Bachchon Ki Mujhay Tashna Dahani) x2

    Dil Rota Hai Jab Sunta Hoon Bachchon Ki Zubani

    Ya Rab

    Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
    (Bin Pani Liey Nehr Say Jaaey Ga Na Abbas) x2

(Soorat Kisi Piyasay Ko Dikhaeyga Na Abbas) x2

Baat Is Kay Siwa Lab Peh Nahin Laega Abbas(a.s.)

Ya Rab