Kisi Nay Aakay Madinay Mein Aam Ki Yeh Khabar

Safar Say Aatay Hain Ibn(a.s.)-e-Batool(s.a.) Laut Kay Ghar

Hain Saath Akbar(a.s.)-o-Abbas(a.s.) Qasim(a.s.)-o-Asghar(a.s.)

Sawaar Shaan Say Hain Bibiyan(s.a.) Bhi Oonton Par

Khushi Manaao Madinay Mein Aarahi Hai Bahar

(Watan Mein Laut Kay Aatay Hain Syed-e-Abrar) x2

    Gharon Ko Apnay Sajaao Hussain(a.s.) Aatay Hain

    Sabilein Aaj Lagaao Hussain(a.s.) Aatay Hain

    Charagh Ghar Mein Jalaao Hussain(a.s.) Aatay Hain

    Khabar Yeh Sab Ko Sunaao Hussain(a.s.) Aatay Hain

    (Woh(a.s.) Aarahay Hain Woh(a.s.) Tohfay Bhi Saath Laengay) x2

    (Woh(a.s.) Sab Say Pehlay Mazaar-e-Nabi(s.a.w.w.) Peh Jaaengay) x3
    Yeh Sun Kay Ghar Say Nikal Aey Mard-o-Zan Saaray

    Keh Aarahay Hain Khuda Aur Rasool(s.a.w.w.) Kay Piyaray(a.s.)

    Watan Mein Aatay Hain Zehra(s.a.) Ki Aankh Kay Taaray

    Kitab-e-Haq Kay Madinay Mein Aatay Hain Paaray

    (Saheliyon Nay Khabar Dee Yeh Jakay Sughra(s.a.) Ko) x2

    (Chal Uth Kay Dekhlay Sughra(s.a.) Tu Apnay Baiyya(a.s.) Ko) x3
    Pukarin Sughra(s.a.) Keh Din Eik Ka Naseeb Hua

    Lo Meri Simt Bhi Mael Mera Tabeeb Hua

    Khushi Ka Koi To Lamha Meray Qareeb Hua

    Magar Yeh Saneha Sughra(s.a.) Peh Kia Ajeeb Hua

    (Basheer Khaak Urha Kar Sada Yeh Deta Tha) x2

    (Aray Hussain(a.s.) Maray Gaey Syeda(s.a.) Ka Ghar Ujrha) x3
    Madinay Waalon Madinay Peh Chagai Hai Khizaan

    Gharoon Mein Chain Say Baithay Huey Ho Aaj Kahan

    Zamin Karti Hai Matam Falak Hai Mehw-e-Fughan

    Rasool(s.a.w.w.) Giriya Kunan Fatima(s.a.) Hain Ashk Fishan

    (Mahallah-e-Bani Hashim(a.s.) Mein Sog Taari Hai) x2

    (Labon Peh Haaey Hussaina(a.s.) Ka Wird Jaari Hai) x3
    Pukaarin Sughra(s.a.) Yeh Kis Tarha Aai Ho Amman(s.a.)

    Kahan Hai Bhai(a.s.) Hamaray Kahan Hain BaBa Jan(a.s.)

    Phophi(s.a.) Kay Shaanon Peh Kion Hai Rasan Kay Daagh Ayan

    (Kahan Hai Asghar(a.s.)-e-Besheer Aur Sakina(s.a.) Kahan) x2

    (Chacha Kay Hotay Huey Kis Tarha Yeh Haal Hua) x3

    Shaheed Karbobala Mein Ali(a.s.) Ka Lal(a.s.) Hua
    Zaeef Kon Hai Amman(s.a.) Jo Saath Chalta Hai

    Kabhi Woh Girta Hai Girkar Kabhi Sambhalta Hai

    Bataao Jald Kay Seena Say Dam Nikalta Hai

    Mujhay Khabar Na Thi Keh Waqt Yoon Badalta Hai

    (Nabi(s.a.w.w.) Kay Lal(a.s.) Ko Ummat Nay Qatl Kar Dala) x2

    (Aray Qusoor Kia Tha Kay Mara Gaya Mera Kunba) x3
    Pukarin Baano(s.a.) Yeh Boorhha Hai Syed-e-Sajjad(a.s.)

    Hoi Hai Is(a.s.) Peh Bhi Baad-e-Hussain(a.s.) Woh Bedaad

    Yeh(a.s.) Roraha Hai Unhin Manzaron Ko Kar Kay Yaad

    Koi Nahin Tha Jo Sunta Gharib Ki Fariyad

    (Dawa Kay Badlay Isay Tariyanay Lagtay Thay) x2

    (Jo Neend Aati To Aada Jaganay Lagtay Thay) x3
    Sinan Kalejay Peh Khakar Guzar Gaey Akbar(a.s.)

Sitam Kay Teer Say Maaray Gaey Ali Asghar(a.s.)

Gulu-e-Sibt(a.s.)-e-Payambar(s.a.w.w.) Peh Chalgaya Khanjar

Phophi(s.a.) Kay Sar Say Utari Laeen Nay Chadar

(Shaheed Hogaey Abbas(a.s.) Hum(a.s.) Aseer Huey) x2

(Ameer Baap(a.s.) Kay Bachchay(a.s.) Sabhi Faqeer Huey) x3