MUSTAFA KI NAUKRI (Farhan Ali waris)

Haasil Hai sharaf Mohammad ke gulaamo ko anokha
Kartey hai gulaam inkey faqeerii mey bhi shaahii

Shahinshaahii se bhi qeemti Hai
Taqt se bhi badi, taaj se bhi hasii zaakrii Hai

Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Shahinshaa Hai ye sab ambiya ke
Sab nabi inkey darr ka Gadaagaar
Wo ho salmaa ho boozar ya qambar
Sab ke sab inkey Ghar ke Hai naukar
Sab farishto ka sardaar Hai Jo
Usko bhi naukrii ye milii Hai
Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Shahinshaahii se bhi qeemti Hai
Taqt se bhi badi, taaj se bhi hasii zaakrii Hai

Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Any naukar ka merey nabi Ney
Martaba is tarah Hai badhaaya
Dunya bhar mey jahaa bhi gayaa my
Mujhko dunya Ney sarr pey bithaaya
Jhuk ke miltii Hai mujhsey ye dunya
Naukrii ki ye ujrat milii Hai
Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Shahinshaahii se bhi qeemti Hai
Taqt se bhi badi, taaj se bhi hasii zaakrii Hai

Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Qabr mey jab farishto Ney dekha
My Hoon masroof zikr e nabi mey
Bhool baithey sawaalaat saarey
Jhoom utthey Wo ishq e nabi mey
Sunney aaye Hai qudd panjatan bhi
Qabr mey qoob mehfil sajii Hai
Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Shahinshaahii se bhi qeemti Hai
Taqt se bhi badi, taaj se bhi hasii zaakrii Hai

Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Madhkhwan e Mohammad Jo pahuncha
Ahley Jannat Ney aankhey bichaadii
Phool barsaaye sab ambiya Ney
Shammey tauheed har soo jalaadii
Haskey kehtey they ye hoor o gilma
Tujhko Allah Ney izzat ye dii Hai
Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Shahinshaahii se bhi qeemti Hai
Taqt se bhi badi, taaj se bhi hasii zaakrii Hai

Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Jo Hai gustaaq merey nabi ka
Ussey nafrat Hai Farhan mujhko
Wo jahannum ka indhan baneyga
Ye bataata Hai Quran mujhko
Dushman e Mustafa Mera dushman
Unkey aashiq se bass dostii Hai
Mustafa ki Jo ye naukri Hai

Shahinshaahii se bhi qeemti Hai
Taqt se bhi badi, taaj se bhi hasii zaakrii Hai

Mustafa ki Jo ye naukri Hai