Ik khoon ka rishta hai ye hai bol raha hai
bhai behen ka ye rishta anmoll raha hai
behna to ik naimat-e-parwardegar hai
dunya mein har behen ko baradar sey piyar hai
Han us hai piyar ka ye izzhar hai
dunya mein har behen key ye dil ki pukar hai

(Mera bhai salamat rahe) x4

Har behen ka ye ahsas hai
bhai mera meri aas hai
bhai jab tak rahe saamney
door gham hai khushi pas hai
kyun na dil ye duayein karey

(Mera bhai salamat rahe) x4

bhai jesa bhi ho han mager
hai behen key liye khoob tar
saath deti hai har mor par
bhai takleef mei ho ager
manatoun key piyaley bharey

(Mera bhai salamat rahe) x4

har behen ko ye idraak hai 
han ye rishta bara pak hai
door hojaye bhai ager
zindagi behen ki khak hai
is liye har behen ye kahe

(Mera bhai salamat rahe) x4

thi madina mein bhi ik behen
us ko rehta tha bas ye mahan
kheriyat sey ho bhai mera
honajaye ghareeb ul watan
raat din ro key bas ye kahe

(Mera bhai salamat rahe) x4

deikha chashme tasawwur mein ye kya
ik behen thi sar-e-karbala
bhai par aayi mushkil ghari 
us ney bachoun ko sadkey kia
ye rahe na rahe vo rahe

(Mera bhai salamat rahe) x4

shab-e-ashoor ka waqt tha
ik behen dey rahi thi sada
aye khuda aye khuda aye khuda
ik majboor ki hai dua
ghar jaley chahe chader chine

(Mera bhai salamat rahe) x4

pani amu sey payegi jo
pas Asghar key aaye gi wo
sab sey chota hai bhai mera
pani aaya to chahegi wo
mujh sey pehley ye pani piye

(Mera bhai salamat rahe) x4

yaad "farhan" aaye mujhe
bibi zainab key jo bain the
kesi ab dil ki "mazhar" likho
jab behen koi ro kar kahe
mera bhai salamat rahe

(Mera bhai salamat rahe) x4