Hai Mera Naam Ali Asghar(A.S) Main Ali(A.S) Ibn-e-Hussain(A.S) Ibn-e-Ali(A.S).
Sin Mein Chota Hoon Sakhawat Hai Meri Sab Se Bari.

Ariyaan Mujh Ko Ragarne Ki Zarorat Hi Nahi.
Kuch Mere Samne Pani Ki Haqiqat Hi Nahi.
Main Jo Keh Doon Abhi Sehra Mein Ho Kauser Jari.

Maqsad-e-Hazrat-e-Shabir(A.S) Adhora Rehta.
Gar Na Labaik Main Hal Min Ki Sada Par Kehta.
Aaj Allahumma Labbaik Nahi Kehta Koi.

Meri Jurat Wo Mera Naam-o-Nasab Jante Hain.
Bargah-e-Ali Asghar(A.S) Ka Adab Jante Hain.
Teer Khud Ban Ke Kama Aate Hain Chokhat Pe Meri.

Waqt Mushkil Jo Na De Nad-e-Ali Parhne Ka.
Tum Ne Oss Waqt Hai Bas Ya Ali Asghar(A.S) Kehna.
Behr-e-Imdad Main Aa Jaon Ga Khud Ban Ke Ali(A.S).

Tum Samajte Ho Ke Sin Mera Abhi Chota Hai.
Ali Asghar(A.S) Ho Ke Akbar(A.S) Wo Ali(A.S) Hota Hai.
Tum Pe Medan Mein Khul Jaye Ga Ye Raaz Abhi.

Raaz Ye Meri Shahadat Se Howa Hai Zahir.
Roz-e-Aashoor Hussain(A.S) Ibn-e-Ali(A.S) Ki Khatir.
Main Allah Ki Janib Se Larai Hai Lari.

Daad Dete Hain Mere Waar Pe Mehbob-e-Khuda.
Aa Rahi Hai Mere Kano Mein Musalsal Yeh Sada.
Wah Kya Baat Hai Jeete Raho Aye Chote Ali(A.S).

De Do Paigham :TAKALLAUM: Yeh Jahan Ko Ja Kar.
Koi Rahib Koi Fitrus Abhi Baqi Hai Agar.
Mere Gehware Ke Nazdeek Chala Aaye Abhi.