Inkaar Aasman Ko Hai Raazi Zamin Nahin
Asghar(a.s.) Teray Lahoo Ka Thikana Kahin Nahin
Maidan Mein Garmi Hai Matti Hai Dhool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Asghar(a.s.) Ki Qabr Khood Kar Rotay Raha Hussain
Kehtay Thay Haaey Lakht-e-Jigar Meray Dil Kay Chain
Teray Liey Hussain(a.s.) Bohat Dil Malool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Khaimay Ki Simt Kis Tarha Jaaon Meray Pisar(a.s.)
Kis Tarha Teray Marg Ki Baano(s.a.) Ko Doon Khabar
Us Ko Teray Baghair To Marna Qubool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Ab Hum(a.s.) Bhi Marnay Jaatay Hain Aey Laal(a.s.) Alwidaa
Laasha Hamara Hona Hai Pamaal Alwidaa
Bach Jaey Deen Nana Ka Mehnat Wusool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Laasha Hai Us Kay Haat Peh Khoon Mein Bhara Hua
Jisko Lab-e-Furaat Bhi Pani Na Mil Saka
Jis Kay Liey Rasool Kay Sajday Ko Tool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Aey Fauj-e-Kibria(a.s.) Kay Mujahid(a.s.) Tujhay Salam
Kia Shaan-e-Be Zubani Say Tu Nay Kia Kalam
Tareekh-e-Guftugu Ka Anokha Usool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Zakhmi Tera Gala Hai Lahoo Phool Sa Badan
Khaimay Kay Dar Peh Baali Sakina(s.a.) Teri Behan(s.a.)
Kehti Hai Teray Baad Ghumon Ka Nuzool Hai

Social Plugin