
ali aa gae..(4)
jab khuda ko pukara ali aagae
jab ali aagae zindagi aagai.....3
zindagi bandagi roshni aagai,
roshni aagai aagai aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
1. Maut inke muhibbon ko aati nahi,
aa bhi jae to phir bach ke jaati nahi
maut ka kya khatar maut se kya hai darr,
is se bach na bhi kya aagai aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagae
2. Teri masnad pe gairon ko bithla diya,
warise mustafa mazhar e kibriya
tu ali o wasi o wali hi raha,
manzilat me teri kya kami aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
3. Hum ke sarsar ishk o tawalla me the,
jaante hi na the nafraton dushmani
yeh tabarrah bhi wallah kya cheez hai,
hum ko aghyar se dushmani aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
4. Maslak e ishk me maangna ayb hai,
mai bhi khamoosh hun woh bhi khamosh hai
unko sub hai khabar isliye chup hun mai,
kya hua aankh me gar nami aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
5. Khums dena mawaddat ki ek shart hai,
aur na dena bhi misle fidak hai gunah
hak ke saadat zehra ke makrooz se,
jab tabarra suna to hasi aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
6. kyun na roe woh kismat ko apni sada,
jin ka pura mukaddar hai lanat zada
jin ki kismat me apne hi aamal se
binte ahmad ki naarazgi aa gai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
7. Sura e aale imran bhi hai gawah,
misle kausar hui aal unko ata
woh jo kehte the abtar nabi ko mere
unki kismat me hi abtari aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
8. Ishq e haider me phirte the shaam o sahar,
unke maddah hai sare jin o bashar
unki aawargi ka safar dekh kar,
zahn me fikr e aawargi aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
9. Shairi ki sharaet bata bhi gae
aur maye ishk e haidar pila bhi gae
sibte jafar mai qurban tere ishk ke
ibne jaafar ko bhi shairi aagai
jab khuda ko pukara ali aagae,
jab ali aagae zindagi aagai
Social Plugin