Aa gaye sadaat, aa gaye sadaat
karbala aa gaye sadaat..(2)
Uthiye hussain aapke zawwar aaye hai
zindaa'n se chut ke abid e beemar aaye hai..(2)

1. Bhoole nahi hai shaam aur koofe ke raaste
tarse hue hai maula ye matam ke waaste
sab kuch luta ke aapke ghumkhwaar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

2. Zainab ne chalte naaqe se khud ko gira diya
phir kohniyo se chalke gayi bhai se kaha
humlog hoke koocha o bazaar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

3. Gardan pe aur jismpe zanjeer ke nishaa'n
ek ek zakhm dard ki kehta hai dastaa'n
zindaa'n se zinda laut ke lachaar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

4. Jee khol kar yaha tera matam karenge hum
karbobala mein majlis e chehlum karenge hum
aye maula shaam wale azadaar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

5. Zindaa'n mein ek teri azadaar reh gayi
karbobala na aayi na zindaa'n se ghar gayi
dafna ke usko abid e beemar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

6. Zindaa'n mein karke aaya hai majlis ye karwaa'n
sab bibiya'n thi matami zainab thi nawhakhwaa'n
mehwe buka o deeda e khoo'n khwaar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

7. Aisa safar batool ki beti ne tay kiya
dete nahi the log aseero ko raasta
tay karke saari manzil e dushwaar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

8. Be dard the wo shaam aur koofe ke sab makee'n
tang hogayi thi aale mohammad pe ye zamee'n
sadaat hoke jeene se bezaar aaye hai
zindaa'n se chut ke..

9. Farhan o mazhar abidi kyu na ho nauhagar
sajjad chutke qaid se baba ki qabr par
lekar nishane tauqe garo baar aaye hai
zindaa'n se chut ke..