Haye Sajjad haye haye Shaam....x2
Sajjad ki is waqt qayamat ki ghadi hain
Zainab dayaare Shaam me sar nange khadi hain
Sajjad ki aayi sada jaisa sitam yeh ho gaya
Ya rab dayare gair me binte Ali hain berida

Na mehramon ki bheed me Kaunain ki shahzadiyaan
Is dard se rota hoon main qaidi bani saydaniyaan
Ye dil sukoon na payega yeh gam mujhe kha jayega
Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida
Sajjad ki ayi ....
Ya rab dayaare ...

Kaise saje hain bamodar kis zulm ki tajdeed hain
Qaidi hhain aale Mustafa in Shaamiyon ki eid hain
Kyu sakht ho dil par bhala
Yeh dard hain sabse bada
Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida
Sajjad ki aayi....
Ya rab dayaare ....

Sar Zainab o Kulsum ka aya use jis dam nazar
Ek bawafa gayyur ka thehra nahi Naize pe
Sar khaak par uska gira
Karta hua bas yeh buka
Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida
D
Sajjad ki aayi...
Ya rab ddayaare..

Pani kabhi manga nahi tishna labon ke waste
Chadar talab karta hu main in bibiyon ke waste
Taarekhiyon me din chuka
Aandhi chala aur khaak uda
Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida
Sajjad ki aayi...
Ya rab dayaare....

Jinko chudaya qaid se meri phuphi me baariha
Qaidi banakar laye hain woh log bhi yeh hain Jafa
Kya waqt ham par aa gaya
Ehsaan ka hain yeh sila
Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida
Sajjad ki aayi...
Ya rab dayaare....

Ek dard ki barchi si hain is kalb me tuti huwi
Ummat bhi hain yeh bewafa taqdeer bhi ruthi huwi
Kaise kate ye faasla
Ya de qaza ya hausla
Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida
Sajjad ki aayi....
Ya rab dayaare....

Farhan o Mazhar Abdi kya thi qayamat ki ghadi
Ek maalike qadron kaza faryad karta tha yahi
Mujh par sitam ab aur kkya
Dhaaegi yeh ummat bhala
Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida
Sajjad ki aayi....
Ya rab dayaare....x2