ammaa
aaye faras ki zeen se jab khaak par hussain
maadar ka chehra dekh ke karne lage ye bain

ammaa
mein thak gaya hun maan

apni aaghosh me kuch der sulaalo ammaa
mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa

kitne neze hain mohammad ke nawaase ke liye
qatl se pehle zara der dilaase ke liye
apne mazlum ko seene se lagaalo ammaa

mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa

qatl abbas ka hojana qaza thi meri
barchhi akbar ko nahin mere kaleje me lagi
gham ki barchhi mere seene se nikaalo ammaa

mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa

ab mere khun ka pyaasa hai ye jangal saara
koyi is dasht me naasir bhi nahin hai mera
ho sake to mere ghazi ko bulaalo ammaa

mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa

halq sukha hai kaleeje me dukhan hoti hai
ret zakhmon me jo jaati hai chubhan hoti hai
apni chaadar ko mere zakhmon pe daalo ammaa

mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa

dekh ke aun o mohammad ko sare dashte bala
dil yun tukre huwa jis tarha badan qaasim ka
mere is tute huwe dil ko sambhaalo ammaa

mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa

koyi sar par nahin gham kis ko sunaaye muztar
baad mere meri zainab ki chhinegi chaadar
meri zainab ko ujarne se bachaalo ammaa

mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa

ye jo "farhan" ke "mazhar" ke labon par hai buka
keh rahe the dame zibha ye shahe karbobala
zere khanjar hun nigaahon ko hataalo ammaa

mein thak gaya hun ye laashe uthaake ay ammaa