
Aagaya bazaar e Shaam....x4
(Khaak par girti hain kehkar yeh Ali ki ladli
Koi Gazi ko bulaye raah me bazar hain)x2
Yeh mera pehla safar hain...x2
Baade Abbas e jari
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par girti hain kehkar yeh Ali ki ladli
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Wirsadare Sayyeda hu waris e tatheer hu
Kis tarha bazaar jaoo khwahar e Shabbir hu
Ek sina par bhai roye ..x2
Ek par chadar meri
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par...
Koi Gazi ko...
Taaziyon ki azziyat kalb par sehlugi main
Kis tarha napak nazron ki sitam jhelugi main
Sharm se Zehra ki beti...x2
Jeeteji mar jayegi
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par...
Koi Gazi ko ....
Ghar se jab jati thi Zainab mehmile lata tha woh
Bamodar bazaar saare band karwata tha woh
Aaj bechadar hi Zainab....x2
Shaam ki janib chali
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par...
Koi Gazi ko...
Qafla jab bekason ka Shaam ki janib chala
Hath pabande rasan the mehve gam aur berida
Qafle walon se rokar...x2
Kehti thi Fizza yahi
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par...
Koi Gazi ko ...
Shaam me in qaidiyon par kya taras khayenge log
Shaam me jate hi ham par aag barsaege log
Kaap uthti hu abhi se...x2
Sochke woh manzar
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par...
Koi Gazi ko...
Mujhko baba ne bataya tha dame rukhsat yahi
Ek din tu Shaam Kufa me khule sar jayegi
Kya karu kisko bulaoo..x2
Agayi hain woh ghadi
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par....
Koi Gazi ko....
Bain yeh Farhan o Mazhar Zainab e dilgeer ka
Sunke har lasha jawan ke dasht me tharra gaya
Wasta logon Nabi ka....x2
Qafla roko abhi
Koi Gazi ko bulaye raah me bazaar hain
Khaak par...
Koi Gazi ko....
Social Plugin