Haye shaam, haye shaam..(2)
Haye abbas, haye abbas..(3)
Abbas teri behno ko, bazaar mein laaya jatah hai..(2)

1. Suraj ne khule sar jisko, ghar mein bhi kabhi na dekha
afsos wahi shehzadi, balwe mein gai wawaila
zainab ki yaha aamad par, darbaar sajaya jaata hai

2. Kis shaan se teri zainab, mehmil me chali thi ghar se
aur aaj safar par nikli, to raah mein patthar barse
be parda nabi zaadi ko, galiyo'n me phiraya jaata hai

3. Kya tujhse kahu ae ghazi, dekhe hai yaha ghum kaise
raaho mein sakina teri, paani ke liye gar roye
bache ko dikha kar paani, reti pe bahaya jaata hai

4. Be dard hai be ghairat hai, ye shaam ke rehne waale
aankho'n pe pade hai parde, aur inki zaba'n par taale
ye chup hai nabi zadi ko, balwe me bulaya jaata hai

5. Ek lamha nahi hai aisa, eeza na koi pohchaye
thak kar wo kahi gar baithe, sajjad ko neend aa jaye
haye haye zanjeer hilakar, qaidi ko jagaya jaata hai

6. Dohraya gaya maazi ko, hai zulm wohi aur ghum bhi
ummat bhi wohi, chehre bhi, darbaar wohi aur hum bhi
kal amma jaha'n aayi thi, ab mujhko bulaya jaata hai

7. Raaho mein kisi manzil par, deta jo hume koi chadar
le jaate hai phir wo chadar, hakim ke sipahi aakar
ek ghum me teri zainab ko, kai baar rulaya jaata hai

28. Barsaat kabhi durro ki, hoti hai kahi sangbaari
ae bhai bata kyu na ho,jeene se mujhe bezaari
sadaat ko in raaho mein, har gaam sataya jaata hai

9. Ye farsh e aza ye matam, zainab ka qarz hai humpar
duniya se kahe fir kyu na, farhan aur mazhar rokar
jo aale nabi par guzri, nauho mein sunaya jaata hai

Haye shaam, haye shaam..(2)