Na rakh ab chaadar bazuo pe tunie le daag chupa nahi zehra ki jaa sharma nahi

Tera nana ka ye roza hai koi kufa sham ka raah nahi

Zehra ki jaa sharma nahi…..

(Jo chadar ujli thi teri rang uska kaise laal huwa) x2

(ab sar pe tere ay shehzadi) x2

Wo kyu mojud rida nahi

Zehra ki jaa sharma nahi…..

(Athaara jo tere bhayi the kis baat pe tuj se rooth gaye) x2

(Wo shehzade kyu saath nahi) x2

Kyu saath tera abbas nahi

Zehra ki jaa sharma nahi…..

(Ye kon jawan hai saath tere hai kapre jiske khun se bhare) x2

(In zakhmo se ye chur huwa) x2

ankho se bhi kyu rukh nahi

Zehra ki jaa sharma nahi…..

(Kis haal me karbal se ayi ay zainab apne shehr me tu) x2

(Ab is se siwa afsos ho kya) x2

Pehchan saki sugra nahi

Zehra ki jaa sharma nahi…..

(Wo bachi jisko sine pe shabbir sulaya kartethe) x2

(Mere ankhe dundh ke haar gayi) x2

Nahi milta uska pata nahi

Zehra ki jaa sharma nahi…..

(Ek gunja dahan masum bhi tha naam uska asger raakha tha) x2

(Kyu khali god rabab ki hai) x2

asbab me kyu jula nahi

Zehra ki jaa sharma nahi…..