Jawa'n ki laash uthana bohot hi mushkil hai
phir usko khaime mein laana, bohoht hi mushkil hai
jawa'n ki laash...

1. Hussain seena e akbar se khaich lenge sina..(2)
sina jigar se chhudana, bohoht hi mushkil hai

2. Kiya hai teer se asghar ko zibha zalim ne..(2)
yaqeen maa ko dilana, bohoht hi mushkil hai

3. Hai zakhm itne sakina ke jism par sajjad..(2)
badan se kurta chhudana, bohoht hi mushkil hai

4. Itne tukdo mein bati laasha e qasim bann mein..(2)
chunke ek gathdi mein laana, bohoht hi mushkil hai

5. Kahaa ye sughra se abid ne zakhm itne hai..(2)
tujhe gale se lagana, bohoht hi mushkil hai

6. Ali ki beti ko aati hai sharm shauhar se..(2)
nisha'n rasan ke dikhana, bohoht hi mushkil hai

7. Hijaab mein bhi na jaaye sharif zaadi jaha'n..(2)
bina rida waha'n jaana, bohoht hi mushkil hai

8. Teri kareemi hai sajjad ghar me qatil ko..(2)
bulake khaana khilana, bohoht hi mushkil hai

9. Nauhakhwano pe hai bibi ka karam aye farhaan..(2)
warna ye nauha sunana bohot hi mushkil hai
jawa'n ki laash