Aye Alamdar-e-Haram

(Saqi-e-Tishna Laban Aye Alamdar-e-Haram

Haidari Sheyr-e-Jawan Aye Alamdar-e-Haram) 2

(Marhaba Sheyr-e-Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Alamdar-e-Haram) 2

Saqi-e-Tishna Laban Aye Alamdar-e-Haram

Haidari Sheyr-e-Jawan Aye Alamdar-e-Haram

Aye Shehanshah-e-Wafa Sani-e-Haidar a.s Moula

Aye Sakina s.a Key Chacha Fatima s.a Zahra Ki Dua

Fouj-e-Shabbir a.s Key Salaar Alamdar-e-Wafa

Bani Hashim Ke Qamar Naz-e-Shah-e-Karbo Bala

Moula Qurban Dil O Jaan Aye Alamdar-e-Haram

Saqi-e-Tishna Laban Aye Alamdar-e-Haram

(Marhaba Sheyr-e-Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Alamdar-e-Haram) 2

Haidari Sheyr-e-Jawan Aey Alamdar-e-Haram

Haaye Wo Sham-e-Ghareebaan Wo Qayamat Ka Sama

Haaye Sadaat Ke Jaltay Huay Khaimo'n Ka Dhuwaan

Bibiyaan s.a.a Karti Theen Ro Ro Ke Yehi Aah O Fughaan

Aao Abbas a.s Ridaao'n Ke Muhafiz Ho Kahan

Ho Kahan Sheyr-e-Jawan Aye Alamdar-e-Haram

Saqi-e-Tishna Laban Aye Alamdar-e-Haram

(Marhaba Sheyr-e-Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Alamdar-e-Haram) 2

Haidari Sheyr-e-Jawan Aey Alamdar-e-Haram

Apna Bibi s.a Ko Alamdar Chacha a.s Yaad Aaya

Aaya Jab Sham Ka Bazaar Chacha a.s Yaad Aaya

Na Mila Saya-e-Deewar Chacha a.s Yaad Aaya

Jab Tamanchey Lagey Har Baar Chacha a.s Yaad Aaya

Thi Sakina s.a Ki Fughaan Aye Alamdar-e-Haram

Saqi-e-Tishna Laban Aye Alamdar-e-Haram

(Marhaba Sheyr-e-Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Alamdar-e-Haram) 2

Haidari Sheyr-e-Jawan Aey Alamdar-e-Haram

Ham Azadaaro'n Ki Taqdeer Jaga Do Moula

Karbala Ka Hamain Zawwar Bana Do Moula

Apni Jageer Ka Deedaar Kara Do Moula

Roza-e-Hazrat-e-Shabbir a.s Dikha Do Moula

Hai Yehi Wird-e-Zabaan Aey Alamdar-e-Haram

Saqi-e-Tishna Laban Aye Alamdar-e-Haram

(Marhaba Sheyr-e-Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Jawan Aye Alamdar-e-Haram) 2