(Allah) x3



(Allah hi Allah) x4



Tu hi tu Allah


Allah tu hi tu Allah

Tu hi tu Allah



Jo mohammad ka wafadar he Allah uska,

karbala uski, najaf uska, madina uska,

zindagi he to bas Ali ki tarha, maut aye to ya hussain hussain



(Ya hussain) x6



(Ya Ali ya hussain) x4



1.     (Awaaze Muhammad ka asar khatm na hoga) x2
Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga



(Ya Ali ya Hussain ) x3



2.     La raib pe rasool ki donon he zebo zen
Pehlu mein ya Ali he to (godi me ya Hussain) x2
Loho qalam ka ilm ka sadiq he ya Ali
Jab tak khuda ka mulk he (malik he ya Hussain) x2
Ye ilm ka dar sabr ka ghar khatm na hoga



(Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2



3.     Ye saltanate ishq hai khuddar milenge
Salmano abuzar se (wafaadar milenge) x2
Qasim yahan mesum se jigar taar milenge
Jeene ke liye marne pe (tayyar milenge) x2
Kat jaye zaban ishq magar khatm na hoga



(Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2



4.     Muslim bine Aqeel safeere hussain he
Hubbe ali he dil mein (masheere hussain he) x2
Who baadshah aur ye wazeere hussain he
Aisa wazeer he ke (faqeere hussain he) x2
Ta hashr sifarat ka safar khatm na hoga



Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga

(Ya ali ya hussain) x3



5.     Hur ko sakhi hussain ne aali bana diya
Aisa ke panjatan ka (sawaali bana diya) x2
Nade ali ne isko jalali bana diya
Rumale fatema ne (missali bana diya) x2
Ye dar he ataaon ka ye dar khatm na hoga



(Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2



6.     Ay mere rabbe jahaan
Ay Muhammad ke khuda
Ye tera ishk hi tha
Jiski parwaaz juda
(Ye tera ishk hi tha) x2
Panjetan se jo mila
Ishq ka tere safar
Ishq haidar me mila
Kabhi mesum kabhi miqdad o abuzar me mila
Kabhi salman ke dil mein kabhi qambar me mila
Aur maqtal me jo dekha to bahattar me mila
(Laike ishq he tu, tera jalwa har su) x2

7.     Ay mere rabbe jahaan
Ay Mohammad ke khuda
Ishq tune bhi diya
Aur Muhammad tera
Jiski chahat ke liye
Ye jahaan khalq kiya
(Who tera ishq hi tha) x3

(Ay mere rabbe jahaan) x2
Ik ajab ishq huwa
Who sare karbobala
Tera ashiq hai khara
Khun mein duba huwa
De chuka lakhte jigar
De chukka noore nazar
De chukka sara woh ghar
Aur khanjar ke tale
Us ka sajde mein he sar
Na namaazi aisi Na ashiq ka kaleja aisa
Noke neza pe bhi karta hi raha zikr tera



(ya ali ya hussain) x3



8.     Ek zulfiqaar khalq me do haath se chali
Daste hussain o panjae mushkil kusha ali
Ye Mustafa ki jaan woh Allah ka wali
Donon ka martaba bhi do alam pe he jail

Donon ka is kamaal se sajda ada huwa
Haider se ibteda huwi ya khatima huwa



(ya ali ya hussain) x3



9.     Hai waqte asr marziye parwardigaar he
Ab pushte zuljana pe maula sawaar he
Pehlu mein khun roti huwi zulfiqaar he
Hum rah zuljanah bhi bohot dil figaar he
Qurban zuljanah pe aur zulfiqar par
Chalte the donon marziye parwardigar par



(ya ali ya hussain) x3



10.                        Jaisi who zulfiqaar thi waisa tha zuljanah
Bachpan se saath saath hi rehta tha zuljanah
be misl o be nazir tha aala tha zuljanah
kyunkar na ho rasool ne pala tha zuljanah
Pehla sawaar to nabiye kirdigaar he
Aur doosra ye doshe nabi ka sawaar he



(ya ali ya hussain) x3



11.                        jite thi jab bhi sheyr chitwa(n) hiran ki aankh

chalta tha dekh dekh ke shahe zaman ki aankh

parti thi yun harif pe us sab shikan ki aankh

larzi ho jese halq me shamshir zan ki aankh

Teghaayi jispe urh kabhi baar urhte chalgaya

Wo sar gira gayi to ye lasha uchalgaya



(ya ali ya hussain) x2



12.                        Kehta tha zulfiqaar se ab meri jang dekh

Chal tere saath saath zara mera rang dekh

Is kaas mei laraayi ka mera bhi dhang dekh

Raah-e-hayaat fitro(n) pe karta hu(n) tang dekh

Mana tu zulfiqaar hai marhab shikaar hai

Leykin ye dekh kon ye mujhpar sawaar hai



(ya ali ya hussain) x3



13.                        Simta jamaa urha idhar aya udhar gaya

Chamka phira Jamaal dikhaya tha har gaya

Teero(n) pe urh ke barchiyo(n) mei bekhatar gaya

Bar haq kiya sabo(n) ko saro(n) par guzar gaya

Aya jo zad mei iski ajal aagayi usse

Is saath koi zarb zamee(n) kha gayi usse



(ya ali ya hussain) x3



14.                        Allah re laraayi mei shokat hussain ki

Heete wo zuljanah mei sur’at hussain ki

Qudrat baghor zad ki thi surat Hussain ki

Chehre udaas Sakina hai haybat Hussain ki

(Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawaas mei

Aisi to jang ham na lare mulk-o-yaas mei



(Hussain ya hussain) x3



15.                        Ayi sada-e-ghayb ke bas bas Hussain bas

Dam le hawaa mei eik nafas bas Hussain bas

Garmi se haanfta hai faras bas Hussain bas

Waqt-e-namaaz asr hai bas bas Hussain bas



(Hussain ya hussain) x3



16.                        Ye sunte the hazrat jo laga pusht pe dhara

Qarboos pe tharra ke gire hazrat-e-waala

Jibreel ne qadmo(n) se rikaabat ko nikala

Aur haatho(n) ko garden mei yadullah ne daala

Dekha jo zuljanah ne ghash khate zee(n) par

Bas beyth gaya dekh ke ghutno(n) ko zamee(n) par

Quran rehl-e-zee(n) se sar-e-farsh gir para

Dewaar-e-kaba beyth gayi arsh gir para



(Hussain ya hussain) x3



17.                        Chillayi fatemah mera bacha hai be gunaah

Ay arz-e-nainawah mera bacha hai be gunaah

Ay nehr-e-alqamah mera bacha hai be gunaah

Ay zulfiqaar tu hi bachaale hussain ko

Ay zuljanah tujhse mei luti hussain ko



(Hussain ya hussain) x3



18.                        Duba lahu mei lot ke aaya hai zuljanaah

Samjhi Sakina baba ko laaya hai zuljanah

Sar khaak per patak kar gira wo rahwaar

Sayyedaniyo(n) bichar gaya mujhse mera sawaar

Jaldi utaarlo ye tabarruk ye zulfiqaar

Are kat’ta hai waa gulu-e-shahenshaah-e-naamdaar

Zahra qareeb-e-laash-e-pisar khaak urhaati hai

Are khaymo(n) mei jaawo, lutne ko foj aati hai



Hussain ya hussain