Har majlise, shabbir me, aati hai maa shabbir ki. Kehti hai kya, ay momino. Tumse ye maa roti huwi. Zakhmi hai mera ladla. Zakhmi hai mera ladli. Marham muje dedo koi. Marham to hai ashke azaa. Rumale me, lejawungi.

    In asuwo ne bhar diye. Sab zakhmato dilgeer ke. Do gaawo ese hai magar, bharte nahi shabbir ke.

    (Na bhoole na bhoole. Shabbir nahi bhoole) x2 (Ek chadar zainab ki) x2 Ik sina akbar ka.
    Matam karo, matam karo, gar lut gaya shabbir ka. Maa agayi shabbir ki, matam karo shabbir ka. Khanjar tale neze pe bhi, karte rahe shukre khuda

    (Na bhoole na bhoole. Shabbir nahi bhoole) x2 (Ek chadar zainab ki) x2 Ik sina akbar ka.
    Tiro pe tha, lasha tere. Roti rahi karbobala. Khayme ka jab parda utha, boli bahan bhayya mera. Lasha tarap kar reh gaya karte rahe shukre khuda

    (Na bhoole na bhoole. Shabbir nahi bhoole) x2 (Ek chadar zainab ki) x2 Ik sina akbar ka.
    Sughra udhar roti rahi, mawla idhar rote rahe. Wa muntazir bimar thi, ya katl sab hote rahe. Sehra me ghar lut ta raha karte rahe shukre khuda

    (Na bhoole na bhoole. Shabbir nahi bhoole) x2 (Ek chadar zainab ki) x2 Ik sina akbar ka.
    Lipti sume, aspas thi. Wo ladli beti teri. Maloom tha mawla tuje. Ab na milengi ye kabhi. Phir bhi suwe maktal gaye karte rahe shukre khuda

    (Na bhoole na bhoole. Shabbir nahi bhoole) x2 (Ek chadar zainab ki) x2 Ik sina akbar ka.
    Darbar me, bazar me. Zindan me har aan me. Kaise sitam sehti rahi. Beti teri behna teri. Dekha ke ye neze pe sar karte rahe shukre khuda

    (Na bhoole na bhoole. Shabbir nahi bhoole) x2 (Ek chadar zainab ki) x2 Ik sina akbar ka.
    Neze pe bhi, sar hai tera. Phir bhi tera kya shan hai. Ye sar hai ke mawla tera. Ya bolta quran hai. Tanse juda sar hogaya karte rahe shukre khuda

(Na bhoole na bhoole. Shabbir nahi bhoole) x2 (Ek chadar zainab ki) x2 Ik sina akbar ka.